Tareef aur Badnami ke liye Meine Duniyawalo ko chor rakha hai,
Par meri har pohabbat aur sach ke liye Apko chuna hai.
Zhahiri me Apse aisi koyi baiten ho sayad qismaat Nahi hai,
Bilwaqt Duniya me nahi, Isiliye apko meri sapno ki duniya me rakha hai.-
Apse mohabbat hai lekin,
wo mohabbat bas meri hai.
Izhar na karu to mohabbat ki,
chupane ki saza bhi meri hai.
Muje pata ho aur bekhabar ap ho,
Aisi chahat bhi bas meri hai.
Ye Mohabbat bas dil pe mere aur
gairo se chupi ho.
Mohabbat ye badhte rahe
harbar jab bhi ye dil dhadakta ho.
Pane ki umeed ki koyi umeed nahi,
Phir bhi ye naumeedi bhi bas meri ho.-
Is there any chance that,
you can bring change?
The Answer is,
As long as I am alive
There are infinite chances..-
Memories never depends on other,
if it depend on other, then they are not other.
They are more than you can think!-
Mubarak Duniya Ko
Riddle
Shukriya khuda ko uss din ka jis din Tera is Duniya me Aana hua,
Shukriya Khuda ka jin hawao me tune apni pehli sans liya ho.
Phir,
Mubarak ho un aankhon ko jisne tujhe pehli baar dekha ho,
Mubarak ho unh haaton ko jisse tujhe pehli baar kisi ne goud liya ho.
Mubarak ho unh shabdon ko jo tere jubaan se pehli baar nikle ho,
Mubarak ho use jisne apna jaan tere jaan me dala ho.
Mubarak ho iss mitti ko jispe tune apna pehla kadam rakha ho,
Mubarak ho use jiske ungliyon ke sahare tu pehli baar chalna sikha ho.
Mubarak ho us ghar ko jispe teri maujudgi ho,
Mubarak ho usko jiska tu ek natkhat si ladli ho.
Mubarak ho mujhe uski zindagi ka tum ek behtareen hissa ho,
Mubarak ho mere waqt ko jo humne tumhare sath karte ho.
Mubarak ho is juban ko jisse aaj tera zikr ho raha hai,
Mubarak ho unh kano ko bhi jo aaj tera zikr sun raha hai.
Mubarak ho aaj tujhe teri salgirah ka bas Allah tumhe khush rakhe,
Mubarak ho aaj tujhe teri salgirah ki dua hai bas Allah tumhe salamat rakhe.
Ameen, Summa Ameen-
Aaina
By Riddle
Aag me jal ke use maine phoolon ko khilate dekha hai,
Samundar me dub ke use mein samundar ki pyas bujhate dekha hai.
Barfili tufan me maine uske hatho me mashal ki aag dekhe hai,
Khud ko jala ke phir use maine andhere ko mitate dekha hai.
Phool hatho me leke use meine qatal hote dekha hai,
Talwar ke nokh pe phir uske jeene ki umeed dekha hai.
Hanske jeete huye use meine andar hi andar marte dekha hai,
Sajde me uske aansu se maine musalla ko bheegte dekha hai.
Aankhon mein gussa aur badle ki aag dekhna hai,
Badle ke aagme jal ke maine use pyar karte dekha hai.
Puri duniya se ladne wala pyar ke liye use harte dekha hai,
Aise Hi ek insaan ko aaj maine aaine me dekha hai.-
Alfazo ka aana jana rehta hai par Dilki khas batein Apke Sath sayed Adhura reh jayega.
Dekhte hai ek dusre ko dur se par Mulakat Apke Sath sayed Adhura reh jayega.
Samne se guzar jaate kabhi ek dusre ke par Apke Sath chalna sayed Adhura reh jayega.
Haste hue dekha hai ek dusre ko par Apke Sath Muskurana sayed Adhura reh jayega.
Zindagi Aap ko dekh ke ji raha hu par Apke Sath Jine ki zindagi sayed Adhura reh jayega.-
Meri Tareef aur Badnami ke liye Humne Duniya chod rakha hai,
Par meri har Mohabbat aur Sach ke liye Apko chuna hai.
Zhahiri me apse koyi guftugu ho sayad qismaat nahi hai,
Bilwaqt Duniya me nahi guftugu ke liye sapno ki duniya chuna hai.-
This time emotions will not come in the way of making decisions,
From now on I will never be able to hear the voice of own heart.-