Zamane se ladke us manzil se lagav kar baithe jo hamara pehle tha nahi huzoor...
Magar vo kehte h na, yeh waqt ka jaljala ik din har ghav ko marham me tabdeel kar hi deta h.-
Shikayat-e-jazeera ko ab hm posheeda hi rakhte h huzoor...
Aakhir har zer-e-aab masla ko malaal ka naam dena sahi to nahi..!-
Habab aur haqeeqat me bs ek patli si lakeer ka hi farak h sahab..!
Kuch baatein muntazir abshaar keh deti h...
Aur kuch darpan.
Bas ab tujhe tayy karna h sirhane pr aitbaar kare ya takiyanusi baaton par.-
Shabab me ghair haqeeqi sapne bunne ki zurrat karti hoon...
Vo kya hain na, virasat me mili mehnat ne kbhi dhokha se nahi nawaza hmein.-
Aakhon se jab aab-e-chasm chalka janaab, ehsaas hua har nazm sirf nazr nahi hota...
Use mere samne ghair- mehfooz hote dekha h sahab, yunhi aarzi baaton me itni riyayat toh nahi milti mohtarma..!-
Kitna kuch kehna baaki reh gya na sahab...
Har dafa yun jaane se pehle anjaan reh jane se mutabiq karna ab munasib kahan..!-
Yun masafat se kaisa malaal rakhna mohtarma...
Behti dariya sa kai jhooth sach me tabdeel hote dekha hai maine.
-
Riyayat ki khoj me nikle the ghalib...
Zara sa aaine pe nazar kya pari... Rubaroo bhi ho gaye.
-
Ik din yun aaya janaab... Use sara farz karz sa lagne lga...
Ab kaifiyat ko dhaal banakar taaveel na dena bhi kaha sahi h sahab?-
Tujhe chaav dete dete ta-umar dhoop me guzaar dia maine...
Shayad be-libaas or takalluf ke beech ka taqawat abhi bhi gyaat nahi hua tumhe.
Magar jaane do, har baat mushaira me kehna waajib to nahi...-