Kisi ne puchha ye "home coming" kya hai jaanti ho.
Maine kaha beshak jaanti hu, apne home ko pehchanti bhi hu.
Home hai wo shaks Jo apko apne liye hamesha taiyaar milta hai,
Baahein failay intezaar karta hai.
Home coming uski baahon me jhul jaana hota hai,
Saari duniya bhula kar khud ko paana hota hai.
Par aisa shaks jab milta hai tab Kai sawaal uthte hai,
Mann bawra qaid hone se darta hai, Purani yaadon ke saaye zehan me ghut te hai.
Wo ghar Jo duniya ki tang jarr jarr galiyon se guzar kar paya hai.
Usme saath rahega Jo apna hi saya hai.
Use apnana hai jo apna hi hai chahe lagta paraya hai.
To karlo " home coming" jab wo Ghar jaisa shaks mile kabhi. Zindagi dubara shuru karne me der nahi abhi.
-
Ho gayi hai mohabbat tujhse
Tu hi bata ab kya karu
Is raah par sang chalna bhi hai
Is aag me sang jalna bhi hai
Aasan nahi hoga mohabbat ka safar
Khushiyon ke sagar hoge kabhi
To takrar ke kaanto se chilna bhi hai.
Seh lenge sab kuch tu agar saath hai
Yahi wafa ka Inaam milna bhi hai.-
Uff ye ishq hai ek aafat
Kya ye aafat le lu
Fir se ik baar dhadakne ki
Is dil ko izazat de du.-
Zindagi fir le ke kaha aayi hai
Jaha kabhi bheed thi aaj waha tanhai hai.
Mudkar dekhti hu purani yaazon ko
To apna pagalpan Nazar aata hai.
Par na hote wo kisse ,wo baatein
To bhudape me yaad karne ko reh kya jaata hai.
-
Ye mohabbat bhi ajeeb sitam kar jaati hai.
Kabhi khud ko dhundte hai aur kabhi mehboob ki talaash karaati hai.-
बाबुल मोरे कहां भेजत हो मोहे, मैं तो रह ना पाऊंगी।
प्रेम का बंधन न हो जहां, वहां बंध ना पाऊंगी।
समाज की झुठी मर्यादा की बैसाखियों के सहारे,
मैं ना लंगड़ाऊंगी।
बाबुल मोरे कहां भेजत हो मोहे ,मैं तो रह ना पाऊंगी।
दहेज की बेड़ियां ना पहनूंगी, झूठे सिंदूर की चमक पर ना इतराऊंगी।
बाबुल मोरे कहां भेजत हो मोहे, मैं तो रह ना पाऊंगी।
मैं सिर्फ नारी शरीर नहीं, मैं तो ईश्वर की चेतना हूं,
ये पाखंडी समाज क्या जाने।
तोड़ कर हर पिंजरा मुक्त गगन में उड़ जाऊंगी।
बाबुल मोरे कहां भेजत हो मोहे, मैं तो रह ना पाऊंगी।
-
Muskurate hue chehre ko dekh kar ye no socho ki Hume koi gham nai satata,
Aisi Kai baatein hain jinhe soch kar
Chup chup kar rona aata.-
Na jaane kab khatm hogi ye zustzoo
Koi to Aisa mile jiski aur meri Ek ho aarzoo.
Meet na Mila re mann ka-
Ek Safar me bas hum do musafir ho,
Aur taaron bhari raat ho.
Haste haste kat jayege raaste
Bas ek Tera saath ho-