Main Kardun Zindagi Naam Tumhare
( Part-1)
Mn agar samne se aakar
Tumhe izhar karun,
Mn agar khud se v jada
Tumse pyar karun ,
Mn agar rakhun tumhe
Palkon pe apni,
Mn agar khud se pehele
Tumhara Didar karun,
To kya inta kaafi hai...................
Mn agar tumhare samne hi
Tumhe yaad karun,
Mn agar har waqt tumhari
Hi baat karun,
Mn agar Karun tumhare
Naam har din apna ,
Mn agar tumhare hi naam
Har raat karun,
To kya itna kaafi hai..............
Mn agar ankon mn
Anken dal ke bethun,
Mn agar dil ko har waqt
Sambhal ke bethun,
Mn agar kardun zindagi
Naam tumhare,
Mn agar jaan hateli
par nikale bethun,
To kya itna kaafi hai..............
-