Tum, Khuda Aur Mohabbat
Jogan teri lagan ne na jaane kaisa lagaya hai ye jog
Bas tujhe khuda nahi keh sakta baki sari ada ki hai rasam...
Phir bhi mujhe koi farq nazar nahi aata tumse Ishq ho ya khuda ki Ibadaat
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat II10II-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II9II
Ya maula kitna sukoon hota hoga aaspas jab namaz padhati hogi tum
Wo hizab, wo band aakhein, wo surkh reshmi chadar aur ruhaani chehre ke samne uthe haath...
Guzaarish hai ki mera bhi zikr ho jab tum khuda ki karti ho Ibaadat
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II8II
Khushnaseeb hu main jab station par milne aayi tum aur khwab bani haqiqaat
Tum...wo lamha, wo aakhein, wo nazarein, wo baatein, wo hizab mein se muskurana,wo saansein, wo sadagi aur zalak...
Jaise aasma khud zami se milna aaya ho todke doori-ye-falak
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II7II
Yoon kisi shabanami chandani si lagti hai mujhe tumhari zalak
Main kisi chand sa sharmakar chup jata hu kaisa hai ye tumhara asar....
Jis din tum mujhe na dikho us din maano dil pe uthta hai dard ka kehar
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II6II
Sanzh hote hi meri aakhon ko bas hai ek hi aadat
Tumhara didar ho meri nazarein karti hai yahi Ibadaat...
Tumhse nazare milte hi meri rooh ko hoti hai unkahi aahat
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II5II
Intezaar jaise barso se sukhi zami ki chahat ho barsaat
Tumhe humesha aakhon ke samne rakhu yahi hai meri darkhwast...
Kyon ki barkha si wo tumhari aankhein uthati hai kayamaat
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II2II
Wo pehli nazar afreen afreen jaise ho meri aakhari shanakat
Uske baad mera wajood ho jaise ab hu tumhari nishaniyat...
Na jaane kaisa rabata hai tumhari aahaton mein
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II1II
Subha azaan ki aawaz jaise tumhari hi ho Inayat
Tumhara station par dikhna jaise Is duniya se tho rahat-ye-fursat...
Tumhara milna jaise khuda ne di ho meri duaa par kabuliyat
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II4II
Kitaabkhane ki har kitab ko ho jaise tumhari hi chahat
Tumhare har zikr mein har kahaani,nazm,shayari deti hai rahat...
Ek din meri bhi kahaani hogi Is kitaabkhane mein nuzmat
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-
Tum, Khuda Aur Mohabbat II3II
Mazar ka nazara jaise tumhari aakhon ki ho Iffat
Un aakhon ki qurbat jaise us khwaja ki ho Ibaadat...
Na jaane kitni sadagi,shor,ghussa,raaz aur tanhayi hai un aakhon ki virasat
Mera fitoor hai ab tum, khuda aur mohabbat.-