Kabhi agar ho sake, to padh lena hume. Sawal jawab kar lena thode, sabse hatke jara samjh lena hume. Kahin apne ap ko dekho, to ruk jana thoda - agar ho sake to uske baad ke panne samet ke rakh lena zara. Kabhi ho sake to padh lena hume.
Hume kahan door jane ka shauk hai, bas paas rahne ka izazat ki talash hai. Kabhi hume apne pass bithake, kuch anginat baatein karke bas itna batado - ki kabhi door na jao. Yakeen maniye janab, Barso guzaar lenge apke galiyon me, kuch arse apke sath aur kuch apke yaadon ko sawarke.
Hume kahan door jane ka shauk hai, bas paas rahne ka izazat ki talash hai. Kabhi hume apne pass bithake, kuch anginat baatein karke bas itna batado - ki kabhi door na jao. Yakeen maniye janab, Barso guzaar lenge apke galiyon me, kuch arse apke aur kuch apke yaadon ko sawarke.