"Main sochu,
Sharab tak mujhse chut gaya
Ushe bhulaya kyun nahi jata
Phir sochu,
Sharab mein itna nasha kaha
Jitna uske ishq mein tha."-
But trying to be.......
There's someone behind my words... read more
Shabd nahi tha likhne ko
Zindagi khud likhne laga,
Ansu nahi bacha ankhon mein
Asmaan khud se barasne laga,
Jab hasi nahi tha hothon pe to
Dil uska cehra dikhane laga.-
Raat gehra hota raha
Teri yaadon mein phisalta raha
Neend se door jata raha
Aur tere khwabon se takrata raha.-
Phir se usne mauka dia hai
Ushe yaad karne ko,
Phir se usne muskuraya hai
Mere khwabon ke duniya sajane ko.-
Aaj phise teri yaad si jagi
Tere sath na hone ki ehsas si jagi
Zindagi mein tere mehek ki kami si lagi
Yun to lakhon hai magar
Bas ek teri kami hi khalne lagi.-
Tumhe rakkhu kisi kitab mein aise
Koi khubsurat si kabita ho jaise
Pangtiya bas ek adha hi padhu
Sari zindagi pad saku jaise.-
Phir ekbar dil zor se dhadakne laga,
Phir ekbar hawa tez chalne lagi,
Main neend mein hoon aur shayad
Woh khwabon mein dastak dene lagi.-
Kuch ankahi baaton mein,
Kuch ansuljhe sawalon mein,
Kuch adhe adhure khwabon mein,
Kuch toote bikhre ummedon mein,
Aaj bhi tum ho,bas tum hi yaad aate ho.-
Tu bas meri hai,yeh haq nahi jataunga,
Tujhe pana hai phir se,ye zid nahi palunga,
Chalna hai dur bahot,tera haath nahi mangunga,
Bas ek yaadon pe koi zor nahi chal paya
Tujhe yaad karne se kaha rok paunga.-
Bheek agar maang loon kabhi
Dher sara khushiyan de dena
Taufa agar maang loon kabhi
Dher sara waqt hi de dena
Aur jab saasein chalne lage akhri
Bas ekbar muskura dena.-