Mujhe aaj voh fir yaad aayaa
Par ek dhundhle saaye sa
Uski yaadon ki almaari se
bass ek kandhaa yaad aaya
Voh bhool gayaa tha mujhe
uske bhoolne par nahii
Apne ussko aaj bhi chahne par shikwa hai mujhe
Chalo khair hai uski bhii
Koi kyun naa naaz kare apne wajood pe
Agar kisi ki saanson ki wajah hi uska hona hai
Voh mujhse aaj bhi bezaar hai
Par mujhe toh uski bezaari pe bhi pyaar aaya hai!.-
Empowering words,
A home for introverts...
Kayi vaar sohde mel milaap,
Saadiyaan shaklaan ch ulaajh ke reh jaande ne!!-
Zindagi mein yun hi apne chod dete hain saat,
Nahi maalum hota kab ho kisi ke saat akhri shaam.
Sab dhokha lagne lagta hai
Unk jaane ke baad,
Kisine nahi poocha mud ke
Kyun aate hain aasu haste haste,
Saans lena mushkil sa ho jaata hai
Jab kisi ka koi hissa reh jaye,
Akhir kab tak kisi gaye hue ko
apne saat leke chal sakta hai koi.-
Bas isi baat par jhagda
mera sabse ho gaya,
pyaar ka matlab haasil
karna kabse ho gaya.-
Shor ki aad mein awaaz
dabti hai,
Chuppi ki aad mein
cheekhe dabti hai.
-
Main dosto ke beech sabse
zyada hasne wala yaar hun,
Main akeli nahi hun,
phir bhi akelepan ka
shikaar hun.-
mein khud par ek bhoojh sa hun,
mein aaj bhi uss roz sa hun,
uss roz ke sapne dekhta hun,
aur fir bheth ke sochta hun,
abb tak kyun poorani yaadein khronchta hun,
kyun apne hi chehre ki khushi noochta hun,
kyun khud ko nahi rokta hun,
kyun poorane dino mein jhookta hun,
badle kyun tum yeh sochta hun,
mein aaj bhi uss roz sa hun.-
Naye chehron mein bhi, chehra poorana dikhta hai,
mujhe tumhare saat beeta, poora zamana dikhta hai.-
kareeb aaya koi,
fir door jaane ki tayaari ki,
mujhpar yeh ehsaan,
kitnon ne baari baari ki,
meri kya galti thi,
meri kya zimedaari thi,
yeh unka faisla tha,
unki pal bhar ki yaari thi...!!!
-