Suryakant Satapathy   (Surya)
30 Followers · 25 Following

Consider poetry as a way to express feelings.
Love to write.
Joined 27 April 2021


Consider poetry as a way to express feelings.
Love to write.
Joined 27 April 2021
26 APR 2023 AT 20:21

Teri kami

Haathon se jab Tera haath chhoota
Maano lakeeron se naata toota ;
Maanga toh tha har dua mein tumhe
Shayad mujhse khuda tha rootha

Zindagi ke har safar mein mujhe
Mehsoos hoti hai teri kami ;
Sochta hun jab tere baare mein
Aa jaati hai ankhon mein nami

Humesha mujhe rakhogi yaad
Kiya tha tumne, mujhse waada ;
Kaash tumhe bata diya hota
Chaha tha tumko hadd se zyada

Kab aaogi wapas lautke?
Aj bhi hai tera intezaar;
Samajh na payi tum iss dil ko
Kya itna kamzor tha mera pyaar?

Kaash mil jaata bas ek mauka
Kehne ko tujhse har woh dil ki baat ;
Seene se har dard hota kamm
mil jata agar phir se Tera saath

-


16 DEC 2021 AT 1:25

ZINDAGI KA SAFAR
Lamhein kitni bitayi tere saath,
Yaad aati hai har wo beeti baat.
Mushkil waqt mein tera saath nibhana,
Saath jo ho tera toh kya ghabrana.
Aaj kal batein hone lagi kamm,
Yaad karke wo pal aankhein hoti hai namm.
Dua hai mile tujhe saari khushiyan,
Jeetne ko kamm padd jaye puri duniya.
Kaash laut aate saare wo pal,
Zindagi se hoti har mushkil hal(हल).
Waada hai nibhaunga har pal saath,
Kehni hai tumse bas itni si baat.
Zindagi ka ye safar kathin,
Bina tere na hogi mumkin.

-


15 MAY 2021 AT 19:36

"Naari ka samman"

Nibhati hai wo kitne kirdaar
Darshati viswaroop jo,
Tahe dil se karta hun naman
Naari ke har swaroop ko.

Atit mein sahe kitne dukh
Biti kitni sadiyan hain,
Uss naari ke samman mein
Aj bhi kitni kamiyan hain.

Roop hain uske kayi saare
Dil se wo udaar hai,
Mushibat aye jab apnon pe
Kar sakti wo sanghar hai.

Shak na karo Kabiliyat pe uski
Humko nahin anumaan hai,
Kadam se kadam mila ke chale
Desh ka wo swabhimaan hai.

Darja uska iss jahan mein
Sabse kayi zyada hai,
Saath deke khush rakhne ka
Karna usse ab waada hai.

-


13 MAY 2021 AT 20:05

Himmat mat haro

Zindagi nahin sirf dukh ki dhara
Jahan milti kebal haar hai
Ye bhi hai khushiyon ka sagar
Yahan milta apnon ka pyar hai

Chahe aye kitni mushkilein
Khona nahin muskan hai
Rakh hosla kar saamna
Zindagi lagegi asaan hai

Jab lage mushkilon ka thokar
Humko nahin bikharna hai
Leke siksha bure waqt se
Sone jaisa nikharna hai

Dukh toh hai kuch kshan ka
Isko zaroor jaana hai
Mushkil mein bas saath nibhao
Achche waqt ko bhi aana hai

-


10 MAY 2021 AT 0:15

Achchai ki karne tareef
pad jayenge shabd kam,
Khush rakhti hai humesha
chahe uski ankhein ho namm.

Seh leti hai har pareshani
rakh ke chehre pe muskan,
Karti hai sab kuchh banane
bachchon ki zindagi asaan.

Hai mamta ki murat
baant ti hai humesha pyar,
Iss dharti par hai wo
bhagwaan ka avatar.

Waise toh maa ke saath
hai ye rishta bohat pyaara,
Chahiye humesha saath
karne ko har sapna pura.

Zindagi ke safar mein
dunga har pareshaani ko maat,
Dua hai rabb se bas rahe
sar par uss maa ka haath.

Ek din nahin hai uske
baare mein bolne ko kaafi,
Kabhi dukhaya hai agar dil
toh mangta hun maafi.

-


30 APR 2021 AT 22:01

Paane ko achchi siksha
Jana pada gharse dur,
Choti si umr mein leke
Apnon ke khaab madhur.

Thi apnon se duri
Tha iss baat ka gham,
Ghar mein kami ki mehsoos mein
Thi sabki ankhein namm.

Akelepann ke iss ghadi mein
Mile naye yaar,
Aisa bana rishta
Mila apnon sa pyar.

Mushkil ki ghadi mein
Saath nibhaya,
Ki mastiyan, ki shararat
Zindagi jeena sikhaya.

Zindagi ki daud mein
Bichhde kitne yaar,
Udaas mann ko jo hasate
Thhe wo pal yaadgaar.

Kuch bane yaadein
Kuch se hoti rahi baat,
Zindagi ke safar mein
Mila kitne doston ka saath.

Hain saare anmol
Jinse juda zindagi ka kissa,
Khushnaseeb hun paake dost
Jo bane zindagi ka hissa.

-


29 APR 2021 AT 22:08

Zindagi hai kuch pal ki
Hass ke bitaya karo
Zamane ke bojh ke tale
Kabhi murjhaiya na karo
Paisa toh hathon ka mail hai
Kuch kamana hai toh rishte kamaya karo

Mushkil ki raatein jayengi
Phir khushiyon ka sawera ayega
Khush rahega aur khushiyan batega
Tabhi toh khul ke ji payega
Aye toh khali hath hi the
Kya hi khoyega aur kya hi lekar jayega

Rishte toh wo moti hain jinhe
Biswas ke dhage se piroya jata hai
Kuch sinchna hai toh acchai sincho kyunki
Jo boye ped babool ka kaanta hi pata hai
Samay kisi ka intezaar nahin karta
Isiliye jo jaagta hai woh paata hai
Aur jo sota hai woh khota hai

-


28 APR 2021 AT 12:20

Gyan jo prachand tha
Uska hi ghamand tha
Unnati ka drishya tha
Badh raha manushya tha

Sukh ka ahwaan tha
Sath mein bigyan tha
Manav ke iss jahan pe
Na prakriti ka dhyan tha

Prakriti ne liya mod
Ghamand ko diya tod
Aya kuch adrishya tha
Kya yahi antt tha?

Gawayi humne kitni jaan
Kaam na aya koi gyan
Drishya ye dukhad tha
Kya yahi antt tha?

Ye nahin antt hai
Prabhu ki Mahima anant hai
Sabne milke liya tthann
Bachne lagi phirse jaan

Abhi bhi samay hai
Katthin nahin karya hai
Prakriti ki rakho dhyan
Chikitsakon ki baatein maan

Hatega ye mushkil ka ghera
Zaroor hoga khushiyon ka sawera

-


27 APR 2021 AT 22:36

Mushkil sa haalaat hai
Kudrat ne di maat hai
Ye kuch palon ki raat hai
Par jab apnon ka saath hai
Aur uparwale ka haath hai
Toh darne ki kya baat hai.

Bas insaaniyat ko rakh zinda
Tu hai uss rab ka banda.

Toh kare chalo apna karam
Kyunki insaniyat hai sabse bada dharam
Mitega zindagi se gham
Aur mushkilein zaroor hongi kamm.


-


Seems Suryakant Satapathy has not written any more Quotes.

Explore More Writers