Ab yuhi nhi logo me badnam hote hai
Wo jamana aur tha janab jab hum nashe ke gulam hote the.
-
Har roj tumhe yaad karta hu
Din raat tumhe yaad karta hu
Ek bar wapas aake to dekh ki tujhe kitna pyar karta hu.-
Pair pakadkar uske bheekh bhi manga tha maine.
Par phir bhi wo chhod kar chali gai kaisa pyar kia tha usne.-
Mat kar yun bharosa kisi pe aye ajanbi
Jab wo jayegi to khud ko bhi na pehchan paoge-
Dard tumne aisa dia ki taumra yaad rahega mujhe
Pehle main kitna khush tha taumra yaad rahega mujhe-
Likhna chahta hu ki,
Kaisa tha mohabbat
me tajurba humara,
Kambakht ishq me khud ko
Qurban kar baithe aur wo nadan hume chhod kisi aur ko apna dil thama baithe.-
Ab to mandir dekhte hi dua kar leta hu.
Kya pata taras aake wapas lauta de-
Agar mil gai mujhe
koi kitab si ladki.
Wo paheli suljhaunga bhi
Apnaunga bhi aur apna
jevaan bhi banaunga.-
Khud me itna khone laga hu
Khud ko khud me dhundne laga hu.
Uske aane se pehle wala insan ko khud me hi dhund raha hu.-
Tumhara hasana aaj phir yaad aaya
Tumhara rulaya aaj phir yaad aaya
Tum jo kehti thi na kabhi na chhodungi tumhe
Tumhara chhor jaana aaj phir yaad aaya.-