Supriya Smarak Das   (Dr. Smarak)
32 Followers · 34 Following

read more
Joined 6 July 2017


read more
Joined 6 July 2017
18 DEC 2021 AT 19:10

Some person can never be with you, even if your love is pure,
And its ok to move on...

-


9 NOV 2021 AT 0:28

WO ANSULJHA BREAK UP

Mai mast maula sa jee raha tha,
Apni single life ko uda raha tha,
Fir wo ayi, or jaise bijli ka jhatka mar gayi,
Ab kuch kami ghalne lagi life mein,
Kuch assh si jagi dil mein,
Unhone pucha kya sath chai pe chaloge?
Or mera dil najane kyun bawra sa ho gaya.
Ab smile uski sukoon ban gayi,
Saath uska meri oxygen ban gayi.
Waqt guzra, nazdikian badhi,
Pyar hua or pyar ka izhaar bhi hua.
Kuch der ke liye esa laga ki or kya chahiye.

Fir misunderstanding ki kaale badal chaye,
Jhagde badhe, man mutaw hua,
Or dheere dheere kab sab bikhar gaya pata na chala.
Aj sochta hun us baat ke baareme toh thoda hasta hun fir thoda ro deta hun,
Samajh nahi ata ki kya ab bhi usse pyaar karta hun.
Maanta hun wo kisi or ki ho chuki hai,
Par yh uljhan sulajh jaye toh or kya chahiye...

-


22 OCT 2021 AT 22:27

Mai shelav sa hun par tere liye shaant samandar baunga,
Tum kuch nahi karna bas muskurate rehna...

-


28 AUG 2021 AT 16:14

Har dhoka ek aaina hota hai,
Magar uspe ayi parchai ko apnana asaan nahi hota

-


15 AUG 2021 AT 10:18

Is desh ki mitti ne najane kya kya dekha hai,
Apne baccho ki bali chadte hue
Is maa ne kab se dekha hai,

Bahar se aa kar kuch ghuspethie,
Is desh ko gulam banana chahte the,
Is mitti ke kya maine hain,
Unko kahan hi pata the,

Loot jaate bas sona chandi toh kya hi gum the,
Gareeb tab hue hum
jab nalanda ke kitaabein unhone jalaye the,

Fir bhi itihaas ke kitaabon mein bacche,
Inhike baareme padhte hain,
Kitne bharat ke veer humare,
Gumnaam hoke rahe hain,

Apne itihaas ko jaan kar is din ko maan do,
Jo desh ke liye kurbaan hue unhe thoda toh avimaan ho...

-


10 AUG 2021 AT 12:58

Almaari mein bikhre hue un yaadon ko aj samet raha hun,
Aj mai fir purani tasveeron mein apne aap ko dhund raha hun...

-


8 AUG 2021 AT 7:54

Jiske bansi ke dhun mein pura jag jhume hai,
Us kanha ke dil mein toh bas radhe radhe hi goonje hai...

-


8 AUG 2021 AT 7:42

Kya gareeb kya ameer,
Kya saaf kya maila,
Sab mere shiv ke pyare hain.
Jo khudko mitti se jode rakhe,
Wo unke dulare hain..
Na saj sajja, na koi maha bhog,
Wo bas ek patte se khush ho jate hain.
Jagg se upar nahi,
Jagg ke sath mere bhole baste hain..
Sansaar ko amreet mile,
Isliye khud halahal peete hain.
Unke charon me rehna sada,
Ab toh hum issike avilashi hain...

-


11 JUL 2021 AT 20:59

Dil ki yahi tamanna hai ab,
Tum pas ho, barish ho or do cup chai...

-


29 JUN 2021 AT 22:16

Bas Waqt bewaqt likhta hun mai,
Or log kehte hain bichara mohobbat ka mara hai,
Shayad sahi kehte hain..

-


Fetching Supriya Smarak Das Quotes