Sunny Arora   (awara)
379 Followers · 76 Following

Reader| Nature lover | Traveller| Poetry lover
Instagram - aawaaragi
Joined 18 May 2017


Reader| Nature lover | Traveller| Poetry lover
Instagram - aawaaragi
Joined 18 May 2017
13 APR 2023 AT 15:31

Kaun eh raaja, kaun bikhaari
Kisdi kheesi, sabh toh bhaari

Koi wande apni khushiya saari
Koi saambhe ghama di pitaari

Har koi ithe, warke da akkhar
Har kitaab da ek hi likhaari


ਕੌਣ ੲਹ ਰਾਜਾ, ਕੌਣ ਬਿਖਾਰੀ
ਕਿਸਦੀ ਖੀਸੀ ਸਭ ਤੋ ਭਾਰੀ

ਕੋਈ ਵੰਡੇ ਅਪਨੀ ਖੁਸ਼ਿਆਂ
ਕੋਈ ਸਾੰਭੇ ਘੱਮਾ ਦੀ ਪਿਟਾਰੀ

ਹਰ ਕੋਈ ੲੱਥੇ ਵਰਕੇ ਦਾ ਅੱਖਰ
ਹਰ ਕਿਤਾਬ ਦਾ ੲਕ ਹੀ ਲਿਖਾਰੀ

-


16 DEC 2022 AT 13:42

Aise sailaab, jo hijr ki nishaani se mile
Jaise abr ke aansu, darya ke paani se mile

Badalte hai kirdaar, chalte hain silsile
Jaane kiske qisse, kiski kahaani se mile

Aaj yaad aayi bachpan ki pariyo ki kahaani
Jahan mazdoor ka beta, pariyo ki raani se mile

Sailaab - floods
Hijr - separation
Abr - clouds

-


25 NOV 2022 AT 17:47

Aisa rooth gaya re mera saajan
Jaan bhi vaaroon, aaye na saajan

-


25 NOV 2022 AT 17:13

Sola shinghaaroon, aaye na saajan
Cheekh pukaaroon, aaye na saajan

Soona jag, bin deed-e-saajan
Jag nyochhaaroon, aaye na saajan

-


22 JUL 2022 AT 17:59

Khudaa, kaun hai jo tera na hua
Tu sabka hua, bas mera na hua

Doob gaya sooraj ek shaam ko
Us roz ke baad phir savera na hua

Maraa tishnagi se woh tar ke kinaare
Jiska darya na hua, sahraa na hua

Nikla aaj ashko ka hujum aankho se
Kyu ‘awara’ aaj zabt ka pehraa na hua

-


24 JUN 2022 AT 17:28

Zabt rehta hai dil ka, aankh bharne tak
Tum thehro toh, ashko ke bikharne tak

Jo saans thamne ko tum marna kehte ho
Kaun jiya hai bhalaa yahaan marne tak

Ummeed ka baadal jab bhi phoot ta hai
Fanaa ho jaata hai barish ke girne tak

-


30 APR 2022 AT 14:56

Yeh na toh aarzu hai, naa hi justuju hai
Ek shakl, mere maazi ke hu-ba-hu hai

Tapaak se milkar bichhad jaata hai
Ajeeb mizaaj ka bana yeh aansu hai

Zabt hai jo labho ko see baitha hai
Dil se poocho ke kitna bekaabu hai

-


15 MAR 2022 AT 19:54

Nadaan zubaan se, kya-kya kehta rehta tha
Aayene ke us paar, jo ek sacchaa rehta tha

Kisi ki masoomiyat dekhi, toh yaad aaya ke
Mere andar bhi kabhi, koi baccha rehta tha

Ab bheed mein khud ko dhoond na saku main
Khudko sambhaal rakha tha, jab tanha rehta tha

Bedaari khareedi, neend ka kharcha karke
Toot gaya, jo aankh mein sapnaa rehta tha

-


3 FEB 2022 AT 19:52

Woh humse bichhar jaayein, toh rote hain
Woh humse milne aayein, toh rote hain

Log kisi ki maut aaye, toh nahi rote
Kisi ki saansein ruk jaayein, toh rote hain

Jinki baahon mein basti thi jaan kabhi
Aaj woh haath milaayein, toh rote hain

-


31 JAN 2022 AT 2:27

Tanhaayi mein kisi ka yaad aana
Phir laazmi hai dil ka toot jaana

Dil toota toh usme patthar nikla
Ab mushkil hai patthar ko pighlaana

-


Fetching Sunny Arora Quotes