Hawaa
(Poem in caption)-
Instagram - aawaaragi
Kaun eh raaja, kaun bikhaari
Kisdi kheesi, sabh toh bhaari
Koi wande apni khushiya saari
Koi saambhe ghama di pitaari
Har koi ithe, warke da akkhar
Har kitaab da ek hi likhaari
ਕੌਣ ੲਹ ਰਾਜਾ, ਕੌਣ ਬਿਖਾਰੀ
ਕਿਸਦੀ ਖੀਸੀ ਸਭ ਤੋ ਭਾਰੀ
ਕੋਈ ਵੰਡੇ ਅਪਨੀ ਖੁਸ਼ਿਆਂ
ਕੋਈ ਸਾੰਭੇ ਘੱਮਾ ਦੀ ਪਿਟਾਰੀ
ਹਰ ਕੋਈ ੲੱਥੇ ਵਰਕੇ ਦਾ ਅੱਖਰ
ਹਰ ਕਿਤਾਬ ਦਾ ੲਕ ਹੀ ਲਿਖਾਰੀ
-
Aise sailaab, jo hijr ki nishaani se mile
Jaise abr ke aansu, darya ke paani se mile
Badalte hai kirdaar, chalte hain silsile
Jaane kiske qisse, kiski kahaani se mile
Aaj yaad aayi bachpan ki pariyo ki kahaani
Jahan mazdoor ka beta, pariyo ki raani se mile
Sailaab - floods
Hijr - separation
Abr - clouds
-
Sola shinghaaroon, aaye na saajan
Cheekh pukaaroon, aaye na saajan
Soona jag, bin deed-e-saajan
Jag nyochhaaroon, aaye na saajan
-
Khudaa, kaun hai jo tera na hua
Tu sabka hua, bas mera na hua
Doob gaya sooraj ek shaam ko
Us roz ke baad phir savera na hua
Maraa tishnagi se woh tar ke kinaare
Jiska darya na hua, sahraa na hua
Nikla aaj ashko ka hujum aankho se
Kyu ‘awara’ aaj zabt ka pehraa na hua-
Zabt rehta hai dil ka, aankh bharne tak
Tum thehro toh, ashko ke bikharne tak
Jo saans thamne ko tum marna kehte ho
Kaun jiya hai bhalaa yahaan marne tak
Ummeed ka baadal jab bhi phoot ta hai
Fanaa ho jaata hai barish ke girne tak-
Yeh na toh aarzu hai, naa hi justuju hai
Ek shakl, mere maazi ke hu-ba-hu hai
Tapaak se milkar bichhad jaata hai
Ajeeb mizaaj ka bana yeh aansu hai
Zabt hai jo labho ko see baitha hai
Dil se poocho ke kitna bekaabu hai-
Nadaan zubaan se, kya-kya kehta rehta tha
Aayene ke us paar, jo ek sacchaa rehta tha
Kisi ki masoomiyat dekhi, toh yaad aaya ke
Mere andar bhi kabhi, koi baccha rehta tha
Ab bheed mein khud ko dhoond na saku main
Khudko sambhaal rakha tha, jab tanha rehta tha
Bedaari khareedi, neend ka kharcha karke
Toot gaya, jo aankh mein sapnaa rehta tha-
Woh humse bichhar jaayein, toh rote hain
Woh humse milne aayein, toh rote hain
Log kisi ki maut aaye, toh nahi rote
Kisi ki saansein ruk jaayein, toh rote hain
Jinki baahon mein basti thi jaan kabhi
Aaj woh haath milaayein, toh rote hain-