Bevakoof tha wo , koi khabar nahi thi usse ke kis raaste pe tha chala aaya,
Tum to samajdar the na, Kya tumhe bhi nazar nahi aaya??-
Aas paas bhi na bhatakte the jo,
Wo bhi nazdeekiyon ke kisse sunane lage.
Tarse the jinse kuch shabdo ke lie,
Aaj wo taarefon ke pul bandhne lage.
Mann to bada hua hoga uska unse poochne ka ,
"Ab to camera bhi band hai janaab,aap yaha konsa kirdaar nibha rahe?"
-
"Sab theek hai maa",
Usne fir se dohraya.
Wo bhi khair maa thi,
usse bina bole hi sab saaf saaf nazar aaya.-
Samundar ki gehrai main un baaton ko dubokar socha ke safar-e-manzil aasan sa hoga.
Iss baat se bekhabar ki ye yaadein lehron ki tarah hai , inka saamna to beshak dobara karna hi hoga..-
Waqt beet chuka tha,
Ghaanv bhar chuke the.
Kehne ko sab thik tha,
Bas bartaav badal chuke the.-
Bade dino baad uske chehre pe nazar aa raha tha ek tejj,
Ho bhi kyu na?
Apne samay ko wo pehle se bhi mehenge daam main aaya tha jo bech.-
After months of dating he finally let her know about his feeling
Pat came her reply,"Chill, it was just a casual fling"-
Kehne ko baatein to kaafi thi
Par ab sirf baatein kaha kaafi thi-
Badi chalaaki se humne apni narazgi ko khamoshi main badal dia.
Ahankar ke khel ke wo bhi manjhe hue khiladi the;
Hum khamosh the aur unhone khamosh hi rehne dia.-
Bhatak jane ke darr ne usse naye raasto ko apna ne se rok rakha tha.
Kaun samjaye usse ki chaar deewaro main qaid kar usne manzilo ko khud se hi mehroof rakha tha.-