Sumit Gupta   (_ankahii_dastaan_)
8 Followers · 5 Following

read more
Joined 20 January 2020


read more
Joined 20 January 2020
11 JUN 2021 AT 1:36

Shikva nahi tere jaane ka, ye dukh to tera intezaar deta hai.
Khamaakha badnaam hai dushman hamare,asal dard to tera pyaar deta hai.
-Sumit Gupta

-


19 OCT 2020 AT 2:05

Teri khushiyon ke hum kuch is kadar kharidar hue,
Dekhne ko tumhe khush hum na jaane khud kitni baar nilam hue.
-SUMIT GUPTA

-


25 SEP 2020 AT 2:14

आदत होती तो कब का बदल दिया होता तुझे,
क्या करु ज़िंदगी अक्सर यूँ बदली नही जाति ।।
- सुमित गुप्ता



-


6 SEP 2020 AT 2:39

Meri muskaan bhi ab tujhse hai mera gam bhi ab bs tujhse hai,
Kaise kahu ki kitni khaas tu hai mera liye,
Mera to khuda bhi tum aur namaaz bhi ab tumse hai.
-SUMIT GUPTA

-


21 JUN 2020 AT 11:42

Zindagi ke safar me har kadam pr mujhe
aapne hi to sambhala hai,
Meri khushiyon ko bachpan se aapne apni
khushiyon se zyada sambhala hai.

Bachpan se ziddi hu pr meri zid ko aapne
hi to badhaya hai,
Meri har zid ko pura karne ke liye na jaane
aapne apni kitni zarurato ko mitaya hai.
Kyu papa kyu aapne meri har zid ko apna
farz samajh kar nibhaya hai?
Kyu aapne mujhe apni tarha nhi banaya hai.

Zindagi ke har moodh pr ek acchi seekh
aap sikhaate ho na,
Pr aaj tak apni tarha kisi apne ke liye
zarurato ko maarne kyu nhi sikhaya hai?
Kyu papa kyu purey ghar ki khushiyon ki
zimmedari sirf aap hi nibhate ho,
Kyu nhi mujhe bhi aap apni tarha banate ho.

Meri pareshani aap bina puche hi jaan jaate ho par aaj bhi
apni pareshaniya aap sabse chipaate ho,
Kyu nhi papa aap bhi kabhi kabhi mera tarha
thoda sa kamzoor ban ke apni
pareshaniya mujhse batate ho.
Kyu aap har baar mujhe kisi dusre ki
kamayabi se seekhne ko batate ho,
Papa kyu nhi mujhe aap bas apni tarha ek accha insaan banate ho.
-SUMIT GUPTA

-


5 JUN 2020 AT 14:54

Mohabbat me teri hum kuch is kadar barbaad hue,
Kal tak the chahete jinke aaj unki hi nazar me gunehgar hue.

-SUMIT GUPTA

-


3 JUN 2020 AT 18:53

Kya tu apne har ek gunha ka hisab apne rab ko de payega?
Apni har ek be-reham si harkat ke liye kya tu khuda se reham ki bheekh maang payega?

Darr nhi agar tujhe kisi insaan ka to khauf kar tu uss rab se,
Kya marne ke baad tu unse bhi nazre mila payega?

Tere har ek gunha ka hisab tere jism
ke khoon ki har ek boond degi,
Jitna zaalim tu aaj hai utni zaalim
tujhe kal maut milegi!
-SUMIT GUPTA

-


3 MAY 2020 AT 12:22

Is bewajha si zindagi me wo na jaane kaise jeene ki wajha bann gai,
Is udaasi bhare din me na jaane kaise wo mere hasne ki wajha bann gai.
Talaash aaj bhi karta hu uski is haqiqat ki duniya me,
Kyuki khaabo me to wo pahle hi mera sukoon bann kar mil chuki..
- SUMIT GUPTA

-


22 APR 2020 AT 10:42

Kuch baatey tumse abhi boli hai kuch baatey abhi baaki hai,
kuch raatey humne jaagi hai kuch raatey abhi baaki hai.
Chaha tha tujhe khud se zyada kabhi isika sila milna abhi baaki hai,
Abhi to sirf dil toota hai, ye jaan jaana abhi baaki hai ...
-SUMIT GUPTA

-


20 APR 2020 AT 2:52

Wo dost hi kya jo dost ke dil me na ho,
Wo insaan hi kya jo dusro ki duaon
me na ho.
Wo khushi hi kya jisko baatne ke liye
apne hi na ho,
Wo darr hi kya jisme jaan jaane ka darr
na ho.
Wo mohabbat hi kya jo kabhi ektarfa
na ho,
Wo ektarfa aashiq hi kya jo kabhi shayar
na ho.
-SUMIT GUPTA

-


Fetching Sumit Gupta Quotes