✍Sumayya kouser   (Sumayya kouser)
167 Followers · 48 Following

read more
Joined 3 July 2018


read more
Joined 3 July 2018
10 SEP 2020 AT 13:14

Kamsin umar beshumaar tajurba liye huve
Na mukammal hasrato'n Ko qalb ke Zameen me tadfiin kiye huve
Safar-e-hayaat ke har mod se sabaq haseel karte huve
Kitaab-e-zeest ke har panne Ko tafseer se padte huve
Mai tanha musafir, sar pe Shaam liye huve
Guzarte har lamhe ke saath apni asli Manzil ki taraf bad rahi hoon

-


20 AUG 2020 AT 22:33

Subha subha ek payaam aya hai,
Khushiyo'n ka bahaar laya hai,,

Pari ki bhes me, khuda ki rehmat ayi hai
Phool ki Kali Jaisi,ghar Nanhi Jaan ayi hai,,

Baap ki jaan'nashiin,maa ki laadlii
Har Dil me raaj karne waali betiya ayi hai,,

Khuda ka nazr-e-karam kuch yu'n huva us jode par,
Shadi ki pehli saalgira par saugaat khuda ki taraf se ayi hai,,

Nikhat ke godii Ko Gul se sajaya diya khuda ne
Noor Ko koh-i-noor se nawaza diya khuda ne

-


19 AUG 2020 AT 23:15

Na jaane kaisa saal hai,Na jaane kaisi azmayish hai
Har ek ko khoufzada aur gamgeen kar rakha hai

Jaa rahe hai log apno ko akela aur gharo Ko viraa'n karke
Hamesha k liye Saare rishto'n aur jahaa'n se raabta todke

Corona aur baaki bimariyaan mahaz bahana hai
Haqiqat to mout ka din mu'ayyan ho rakha hai

Uth rahe janaaze ankho ke saamne
Kya apna,kya paraya har ek zer-e-khaak ho Raha hai

Thak Gaye kaan "mout ki khabare'n" sunte sunte
Thak gayi zabaa'n "Inna lillahi wa inna ilahai raazioon" kehte kehte


-


29 JUL 2020 AT 23:14

Har Roz ma'asiyat me izafa dekha hai,
In ankhon ne zaalim Ko bebaak dekha hai,,

Daljit,muflees,mazlum Ko be-qusoor marte dekha hai,
Fir bhi har zubaan Ko khamosh dekha hai,,

Mazluum Ko dekh ke yahaa'n kadam na sahi haath zaroor uth jaate hai,
Lekin un hatho'n Ko faqat photo, video's banate dekha hai,,

Jin afsaro'n Ko insaaf tha karna,
Unhe pairvii-e-ahl-e-siyasat dekha hai,,

Ameer ko chiink bhi aye to ban jaati hai Breaking news,
Gareeb mar bhi jaaye to camera Ko band dekha hai,,

Jab bhi uthi awaaz zulm ke khilaaf,
Us awaaz Ko dabake jail me band karte dekha hai,,

"Ashraf-ul-makhluq" laqab ke saath,
Bashar Ko fitna-o-fasaad barpa karte dekha hai,,

Yahaa'n insaan hi insaan ka Dushman hai,
Guzarte waqt ke saath insaaniyat Ko gum hote dekha hai,,

Har kamzoor pe taqatwar hai haavi,
Be-shumaar alaamate'n qurb-e-qayamat kii dekha hai,,

Har Roz Ma'asiyat me izafa dekha hai,
in ankhone zaaleem ko bebaak dekha hai...!

-


15 JUL 2020 AT 20:18

ᴀɪsᴇ ᴛᴀʟᴋʜɪʏᴏɴ ᴋɪ ғᴀᴢᴀᴀ ᴍᴇ
ᴀɪsᴇ ᴠᴀʙᴀ ᴋᴇ ᴅᴏᴜʀ ᴍᴇ
ᴛᴏᴏᴛᴇ ʜᴜᴠᴇ ǫᴀʟʙ ᴋᴏ ᴘᴀɪᴠᴀɴᴅ ʟᴀɢᴀᴋᴇ
sᴀʙᴀʀ ᴋᴇ ɢʜᴜᴜᴛ ᴘɪɪ ᴘɪɪ ᴋᴇ
ʀᴜᴋʜ ᴘᴇ ᴛᴀʙᴀssᴜᴍ sᴀᴊᴀʏᴇ ᴊᴇᴇ ʀᴀʜᴇ ʜᴀɪ

A͟U͟R͟ K͟Y͟A͟ K͟A͟M͟A͟A͟L͟ K͟A͟R͟E͟

-


23 MAR 2020 AT 8:13

Coranavirus Ashaar👇👇👇

-


16 FEB 2020 AT 21:42

A meri tanhayi
Tanhayi me apse mulaqaat
Mera sar,apka dar
Meri nadamat,apki bakhshish
Meri nafarmaani,apki mehrbani
Mera dard,apki dawa
Meri pukaar,apka labbaik
Mera bayaan,apki tawajju
Mera tootna,apka sambhalna
Meri ek touba, aur apka mouf kardena

Is naachiz ko apki taraha koun chahega ya Allah??
Koyi nahii...


~Sumayya kouser









-


14 FEB 2020 AT 12:10

Bhago apni apni mohabbat ke piche
jitna bhag sakte ho sab bhago
aakhir me kuch nahi hoga
thak jaooge
gir jaoge
roo doge
Allah ko yaad karoge
gid gidaoge
halaanke rab ne pehele hi keh diya hai
Na mehram ke piche
mat bhago
mat milo
mat dekho
baat mat karo
Suno Nadaano Jo tumhara hai naa
o tumhe har Surat me milega
Jo tumhara naseeb ka hai hii nahi,
iske piche kitna bhi bhago
Siwaye zillat, dukh ,aur besukooni k
siwa kuch nahi Milne waala...!

-


22 JAN 2020 AT 22:53

Har o talluq aur rishta jis k liye Maine shiddat dikhayi,,
isne mujhe siwaye zehani aziyat k kuch nai diya...😥

-


19 DEC 2019 AT 21:41

Mohabbat sirf apne mazhab se nahi,
Mohabbat mulk se bhi beshumar karte hai ham...

Jab mulk ka hakeem hi zaleem ban jaye,
To us zulm k khilaaf awaaz uthane ki himmat bhi rakhte hai ham....!

-


Fetching ✍Sumayya kouser Quotes