Sumanshu Ksheersagar  
32 Followers · 7 Following

Likhta hu Kyuki bol Nahi sakta
Bayaan karta hu Kyuki chhupa Nahi sakta
Joined 4 June 2019


Likhta hu Kyuki bol Nahi sakta
Bayaan karta hu Kyuki chhupa Nahi sakta
Joined 4 June 2019
26 MAR AT 21:53

Kya hunar Mila hai taufe me
Har pasandita cheez kho deta hu

Jo khwaabon me maanga tha kabhi
Uski yaado me aksar ro deta hu

Ab to bas ye zindagi bachi
Ey musafir,

Shayad kal Tak ye bhi cheen jaye
Yahi soch ke Aaj kal mai so leta hu

-


15 MAR AT 1:03

Kehte hai log ki yaar,
Badhe achhe ho tum
Kya Raaz bana rakha hai

Mai bhi to soch me pad gaya
Fir yaad aaya girebaan
Sharafat ka sahi chuna hai

Kudrat bhi dar jaegi 1 din
Jab kaabu kho denge

Nishaan Mita denge har kisika
Agar apni fitrat pe utar jayenge

-


7 MAR AT 0:44

Keheta nahi mai chaand aapko
Ki kisi amaawas ko kho jaoge

Keheta nahi mai gul aapko
Ke 2 din me murjha jaoge

Keheta nahi mai sharab aapko
2 pal ke nashe ke baad
Subaha hote hi dard dekar utar jaoge

Humne to aapko
Saanso se nawaaza hai

Safar me zindagi ke
Ankhir tak saath nibhaoge

-


3 MAR AT 11:58

Log kehte hai khamosh ho
Batao andar kitne toofan dafan hai

Ye dil bhi kabhi dhadakta tha
Batao ye kitne gamo ka kafan hai

Jawaab to nahi tha.
Tha par itna waqt nahi tha
Mai muskura ke bola

Raaz wo bataye nahi jaate,
Jinhe dard seheke dafnaya ho

Aur gam wo kabhi jataaye nahi jaate,
Jinhe humne khud jagaya ho.

-


2 MAR AT 15:00

1 dewaana mujhe mila aur bola
Khwaab dekhta hai,
pura hone tak dekhta rahega

Keheta fir mujhse
Pyaar hai tumse ey Noor,
Haqikat me ye massage hume kab aaega

-


15 FEB AT 20:01

Kyaa baat hai ey zindagi
Bada haseen Tera ye zamana hai

Kyu Majboor hota hu mai
Galat hota Mera har faisla hai

Sukoon chahiye tha thodasa
Par jimmedariyo ne daala dera hai

Dikkat bas 1 hai
Mera mijaaz thoda dheet hai

Haar maanna meri fitrat nahi
Jeetna har jang me meri zid hai

-


10 FEB AT 21:10

Sari zindagi saath nibhaunga,
Mai ye waada karta hu


Eytbaar karta hu ey dilbar,
Issiliye izahaar karta hu

Har saans, har dhadkan
Har khwaab, har khayaal
Aaj se aapke naam karta hu

-


5 FEB AT 21:45

Dua karta hu - 5

Wafa jisse kare hum shiddat se
Uske Dil me humari ehemiyat ho

Aur Ehemiyat jo de zindagi me
Usse hum wafadaar ho

-


2 FEB AT 23:52

Dua karta hu - 4

Naa aaye Nazar wo shaqs dobara
Bhulaya ho jise dard sehke

Aaye bhi agar to baat kare khudse
Aur muskuraye alvida kehke

-


24 JAN AT 23:11

Dua karta hu - 3

Na kisiko lagaav ho kisise aisa
Ki saans Lena bhi bhari pade
Aur dhadkan bhi rukhne lage

Chahata hu mai 1 cheez

Mile sabhi ko koi aisa
Jiske saanso me base uski jaan
Aur Dil aur tez dhadakne lage

-


Fetching Sumanshu Ksheersagar Quotes