Suman Keshri   (Keshri)
19 Followers · 7 Following

Dil ki baat h... Panno pe utaar raha hu sabdo k jariye
Bas aur kch nhi...
Joined 22 March 2017


Dil ki baat h... Panno pe utaar raha hu sabdo k jariye
Bas aur kch nhi...
Joined 22 March 2017
1 OCT 2021 AT 0:27

Wo sehti rahi sab kuch maun reh kar,
Uska utpidan hua bahut kuch keh kar,
Wo ladti rahi apne pyaar k khaatir,
Lekin usko hi maar diya suicide keh kar,
Himmatwali thi wo jisne aaj tk itna kuch saha,
Himmatwali thi wo jisne aaj tk kisiko kuch na kaha,
Wo to bas apna patni hone ka haq chahti thi,
Lekin use utna v nhi mila aur dard ko apne andar rakha,
Wo hmesa hasti rahti thi andar se ro kar,
Usne apna dard chupaya sbke saamne khus ho kar,
Ek achhi beti ek achhi patni aur ek achhi behen thi wo,
Lekin wo chali gai ham sab ko akela chor kar....

-


6 SEP 2021 AT 1:54

Tumhare pass to fir v tum ho,
Mere pass to ab main v nahi,
Tumhare tarah to maine v pyaar kiya,
Lekin tmhare jaise main kuch kehti nhi,
Sapne to dono ne dekhe the,
Fr kyu tmhare taane srf main hi sehti rahi,
Saath to tumne v nhi diya mera,
Islye tmhari yaado k sahare baithi rahi....

-


28 AUG 2021 AT 3:29

Hmmm... Achha...aur kya bolu ... Sab theek h,
Jaise tumne chora h pyaar karna v ek seekh h,
Haa mushkil h tumhe bhula paana magar namumkin nhi,
Tumhari yaad na aae aisa koi v din nhi,
Jab v tumhari tasveere dekhta hu wo pal yaad aati h,
Unse hi baat krte krte meri raate gujar jaati h,
Hmmm... Achha...aur kya bolu ... Sab theek h,
Jaise tumne chora h pyaar karna v ek seekh h......

-


15 AUG 2021 AT 3:32

Aksar log pucha krte h ki tmhara ghr kaha h,
Main has k jawab de deta hu ki jaha mujhe apnaapan lgta h main ghr wahi bna leta hu...


-


20 JUL 2021 AT 2:44

Ye raat ka andhera aur ye baadalo ka ghera,
Baarish ki aas mein ho gaya ab sawera,
Ye subah ki roshni aur fr baadalo ne ghera,
Itni baarish hui ki dhool gya pura sawera....

-


6 JUN 2021 AT 5:05

Kuch karne ki aas me saari raat jaag jaata hu,
Subah nind khulti h to khudko fir se wahi pata hu,
Aage kya karna h kya nahi wo v mujhe pata nhi,
Meri haath ki lakeeren to mujhe bahar ka rasta bata rahi,
Kab tak yu kismat k sahaare chalta rahunga,
Kab tak yu dusro k sapne khud k mehnat se pura karta rahunga....

-


21 APR 2021 AT 0:42

Aaj baarish hui to tumhe yaad kiya,
Tumse milne ka firse fariyaad kiya,
Isi baarish me hum pahli baar mile the,
Usi kichad me hmare riste k kamal khile the,
Darasal baarish mujhe pasand nhi lekin tum mujhe pasand ho,
Kichad mujhe jachta nhi chahe wo barsaat ho ya basant ho,
Aaj baarish hui to tumhe yaad kiya,
Tumse milne ka firse fariyaad kiya....

-


18 APR 2021 AT 1:34

Subah ka pahla khyaal raat ki aakhri yaad ho tum,
Na main tere pahle na mere baad ho tum,
Bhagwan k saamne maangne wali fariyaad ho tum,
Tumhe chah k v paa nhi saka wo khwaab ho tum....

-


26 FEB 2021 AT 2:16

Chaaro taraf sannata h koi nhi h aaspaas,
In sab baato k alawa kuch nhi h mere pass,
Deewaaro se baate kr k deewaaro pe hi likh deta hu,
Deewar ne v puch liya kya koi apna nhi h tera khaas?
Maine v bol diya... Khaas to h lekin wo pass nhi,
Isliye tmse baat karta hu jab jab dil udaas rahi...
Deewar ne v jawab diya naa wo khaas h naa wo pass h,
Tu khud me hi khoya h islye tera mann udaas h,
Tu haara nhi h tujhme himmat av v baaki h,
Tere iraade nek h lekin tera mann napaaki h....

-Keshri

-


26 FEB 2021 AT 2:06

Main nakaam ho rha hu.. Koi mujhe bacha lo,
Main saddam ho rha hu... Koi mujhe saja do,
Main paigaam ho rha hu... Koi mujhe pahucha do,
Main qatle-aam ho rha hu... Koi mujhe dafna do....

-


Fetching Suman Keshri Quotes