Teri furkat mein bhi kurbat is tarah mehsoos ki
Chand mein mujhko tera chehra nazar aaya hai aaj
Furkat = judai / Kurbat = paas hona-
Ae chaand tere husn ki ab shaan mein main kya kahoon
Jab nazar aata hai tu, hairaan ho jaata hoon main-
Rakhoge kab talak parde mein unko yoon chupakar tum
Karo sab khwaaishen poori naya phir saal aaya hai
Kabhi aayegi dushvaari masaail bhi kaii honge
Tu rakhna hausla phir bhi naya phir saal aaya hai-
Mitaa do faasle saare, ye anban choddh do saari
Karo ik baat meethi si naya phir saal aaya hai
Rakhoge kab talak parde mein unko yoon chupakar tum
Karo sab khwaaishen poori naya phir saal aaya hai
Kabhi aayegi dushvaari masaail bhi kaii honge
Tu rakhna hausla phir bhi naya phir saal aaya hai
-
Charaghon ki hamesha qadr hoti hai andheron mein
Zamana joon kisi ke chodhh kar jaane pe rota hai.
Wishing all a very happy Diwali!
-
Humne kya tumse sada pyaar kiya bas yoon hi?
Aur tumne bhi toh ki hum pe jafa bas yoon hi
Jaante sab hain gunaa kaun yahaan karta hai
Phir bhi mil jaati hai kis kis ko sazaa bas yoon hi
Saikdon khwaab yahaan bhasm hue hain yaaron
Bhar nahin jaati dhuen se yeh fizaa bas yoon hi-
Kahaan dikhta hai humko kya guzarti hai kisaanon par
Kami aksar Samar ki, dar zarar ka le ke sota hai
Samajh ye haal hai tera, yeh mustakbil bhi tera hai
Kadam aage badha haasil tu kyoon maazi pe rota hai.
Samar = produce
Zarar = damage, destruction
Mustakbil = future-
Glad to share my work with you which is now available on Rekhta. The world’s largest Urdu poetry portal
-
Jab ye panne kitaabon ke gal jayenge
Mol bhi kya kahaani ke dhal jayenge-
Kabhi rutba diya yaaron ko guldaste ke phoolon sa
Saja kar phir naye phoolon ko tu rishte dubota hai
-