Agar tum kisi se sacchi mohabbat karte ho,
Aisi mohabbat....
Ki agar wo Roye, to tumhara dil dukhe.
Wo hase, to tumhare dil mein kaliya khile.
Wo bole, to use bas takte rahne ka dil kare.
Wo khamosh ho, to uski khamoshi chubhe...
Wo naraz ho, to tumse Raha na jaye.
Uski khushi mein, tumhare lab muskuraye.
Uski yaad mein, tumhara dil tadapta jaye.
Par wo tumhari tadap samjh na paye...
To bata do use......
Bata do, ki tum use kitna chahte ho,
Uski ek muskan pe so khushiyan waar jate ho...
Bayan kardo dil ke har jazbat ko,
Bayan kardo apne har halaat ko..
Fir Jo ho khuda jane,
Par tumhe kabhi na bol pane ka afsos na ho...
-