Pata he Nahi Chalta ki yaha apna kon hai,
Agar sab sath hai to Fir badla kon hai,
Jaane wale to chale Jaate hai,
Farak isse Padhta hai ki wapas Palatta kon hai,
Kiss kayalo mein Ghuzar Jati hai Sham meri,
Samaj nahi aata dimag mein chalta kon hai,
Janna ho ki tumhara bhi hai kya koi,
To ye dekhna ki tumhari aankhe Padhta kon hai,
Tekleef ka dusra naam hai zindagi,
Bina uske yaha jee raha kon hai
Har bar ye Zaruri nahi ki tum Samjho sabko,
Ab ye samjho ki tumhe Zaruri Samjta koin hai...!!
-