Tumhe bhaut yaad karti hun main...
Tumhari kasam,
Apne aap hi dhyan chala jata
Ya yaad aa jati h,
Koi chotti si kahani
Jo apne zindagi ke guzare pal ki
Sunnai thi tumne.
Unh baaton ko dhyan se sunn
Mera thoda aur hi samjh lena tumhe
Ab jab tumhe soch rahi thi
kuch nayi chizen
Samjh aayi tumhare bare me.
Ki jaise...
Tumhe subha jagane ke lie hi
Suraj roz nikalta hai
Aur jab tum din bhar ke kaam se
thakne lagte ho to raat aa jati hai
Chand taaron apne sath leke
ghumti hai Tumhe dekhne
Suraj bhi tumhara,
Chand bhi,
Taare bhi,
Aur raat
Yeh sab kuch tumhare hain wse toh
Par inh sabse fursat mile,
Toh mujhe ek phone krlena
Kyun ki...
Mai tumhe bahut yaad krti hun...
-