Stranger 2.0   (stranger2.0)
7 Followers · 4 Following

Joined 6 July 2019


Joined 6 July 2019
11 NOV 2022 AT 22:36

Khuda se kya mangu apke vaste?
Sada khushiya ho apke raste.
Hansi apke chehre pe rahe iss tarah,
Khushboo phulon ka sath nibhati ho jis tarah.

-


30 JUL 2022 AT 1:13

Loha jitna tapta hai
Woh utni hi takat bharta hai
Sone ko jitni aag lage
Woh utna prakhar nikharta hai
Heere par jitni dhaar lage
Woh utna hi chamakta hai
Mitti ka bartan pakta hai
Tab dhun par khub khanakta hai
Suraj jaisa Banna hai
Toh Suraj jitna jalna hoga,
Surat jaisa Banna hai
Toh Suraj jitna jalna hoga,
Nadiyon jaisa adaar pana hai
Toh parvat chhod nikalna hoga
Aur hum aadam ke bete hai,
Aur hum aadam ke bete hai
Kyun soche rah saral hoga?
Kuch jyada waqt lagega
Par sangharsh zaroor safal hoga
Har ek sankat ka hal hoga
Woh aj nahi toh kal hoga
Woh aj nahi toh kal hoga

-


18 JUL 2022 AT 22:15

Badi ajeeb hai yeh zindagi ke raste,
Anjane mod par kuch log apne ban jate hai.
Milne ki Khushi de ya na de,
Magar bichhadne ka ghum de jate hai.

-


9 MAY 2022 AT 13:06

Baarish ke boonde jab bhi aati hai,
Yaadon ki barsat woh apne sath laati hai,
Khokar jinme hum gungunate hai
Apne pyaar ko yaad karte hai aur muskurate hai.

-


24 MAR 2022 AT 0:04

Tu hi mil jaye mujhe
Bas itna hi kaafi hai,
Meri har saans ne bas
Yehi dua mangi hai,
Jane kyun yeh dil
Khicha chala jata hai teri taraf,
Kya tune bhi mujhe pane ki
Dua mangi hai?

-


8 APR 2021 AT 0:41

Na jane kyu abhi apki yaad aa gayi,
Mausam kya badla barsat bhi aa gayi,
Maine chhukar dekha boondon ko,Toh
Har boond mein apki tasveer nazar aa gayi

-


7 FEB 2021 AT 11:49

Na apne pass hoon,
Na tumhare sath hoon,
Main kayi dino se
Yuhi udas hoon.

-


6 FEB 2021 AT 8:25

Toofan bhi ana zaroori hai zindagi mein
Tab jaake pata chalta hai,
Kaun hath chhuda kar bhagta hai aur kaun hath pakad kar.

-


6 FEB 2021 AT 8:23

Tum haqeeqat nahi ho
Hasrat ho,
Jo mile khwaab mein
Wohi daulat ho,
Kis liye dekhti ho aina
Tum toh khuda se bhi
Zyada khubsurat ho.

-


6 FEB 2021 AT 8:19

Ishq adhura reh jaye toh
Khud par naaz karna,
Kehte hai sacchi mohabbat
Mukammal nahi hoti.

-


Fetching Stranger 2.0 Quotes