Galti ho jaye toh khafa ho jana
Magar itna khafa na hona
Ke mar jaye hum-
Agar ashman ki unchai aur sagar ki gherai pata hoti
Toh kya fir unki aukaat hoti-
Kuch baatein aapki nigahein samajh leti hai
Kuch humari alfaaz samjha deti hai
Kuch baatein dil tak hi rehne do
Mohobat bin kahe hi sab samajh leti hai-
Jee liye sari zindagi kuch kagaz kamane me
Aur chor aye har rishtey kisi ajnabi ko apna banane me-
Kuch dard toh un badalo ko bhi hota hoga
Ke yuhi nahi asmaano mei toofan ati hongi-
Tu jo muskuraye toh mein bhi muskurata hu
Tere rote hi mein bhi aanshu bahata hu
Meri dil ki duniya me hai bus ek tu
Aur teri duniya me bus ek mein hi hu-
Tum mil ja mujhe ek baar
Mein tujhe khusiyon ki shaurat dila hu
Kabhi raat ko nikal sath mere
Toh chand ko uski aukaat dikha du-
Kuch lamhe samate the teri yaado ke
Yaha se tum guzar gaye
Waha se lamhe guzar gaye-
Tum kisi bandh kitaab ki gulaab ki tarah ho
Aur hum uss gulaab ki yaadein
Jis din yaadein khatam ho jayengi
Uss din tumhari ahmiyat khatam ho jayegi-
Ek waqt tha jab humare bina koi mehfil na hoti thi
Aur ab janab kisi mehfil me hum nahi hote hai
Tum aaj bhi sote ho kisi bandh kamre me
Aur hum aaj bhi khule aashmaan me sote hai-