किसी की बेईमानी लिए
मैं अपनी पहचान खो दूं
तुम्हारी झूठ की खाई को
हकीकत का आसमान मान लूं
ना तुम्हारी दोस्ती एहसान है
ना ही तुम्हारा प्यार वरदान है
मैं कल थी आज हूं और कल रहूंगी
चंद लम्हों के साथ
मेरे लिए राय बनाना मत
मेरा रिश्ता कायम रहेगा
गलतफमियां हैं
इसे जीना मत-
बारिश की बौछारों
की तस्वीर साझा कर लीं
भीगते धुलते
पत्तियों की तस्वीर साझा कर लीं
बूंदों से बनते
चूड़ियों की खनक साझा कर लीं
लेकिन
मिट्टी की सौंधी खुशब के लिए
तुम्हें आना होगा
उस मेहक के अहसास के लिए
मेरा हाथ थामना होगा
बूंदों की लय में बहने के लिए
मेरे साथ भीगना होगा
तुम्हें आना होगा-
Kosti rahi khud ko
Soch kar
Ki galti thi Meri
Jo wo chale Gaye
Humein Kahan pata tha
Jana tha unhe kahin aur
So humari khata Gina Gaye
-
कहते थे
कभी अलग नहीं हो सकते
आज हम अलग हैं
वो खुश हैं
और हम जी रहे
नहीं जानती हमारा कोई अंश बचा भी है
उनकी जिंदगी में
तसल्ली कर लेते हैं सोचकर कि
याद करते होंगे वो भी फुर्सत में
कभी दिन कम पड़ते थे बातों को
आज साल गुजर गए इस खामोशी को-
Tum chale Gaye
Nhi rokungi
Tum chale Gaye
Rone ki aadat Jo Meri hai
Gayi nahi
Aur tum chale Gaye
Dur hone ke darr se
Rat ko jagne ki aadat
Gayi nahi
Aur tum chale Gaye
Yado ko bhula na pane ki aadat
Gayi nahi
Aur tum chale Gaye
-
Sabkuch jan kar
Anjaan baithe Hain
Tut kar nhi
Pehchan bana baithe Hain
Tumhari khusi k liye Nahi
Tumhara sath pane k liye Nahi
Tum laut kar wapas aaoge
Isliye Nahi
Isliye
Kyunki ab khwahish Nahi
Jhuthe rishte ko bachane ki-
Jab ye baarish si ho jati hai
Bus yu hi yad aa jate ho
Kuch pal ka intezar hota hai
Jab ye baarish si ho jati hai
Lagta hai bundo se bhige ho
Aur aankhein keh rhi ho
Bus yu hi jab samne hote ho
Acha lgta hai patto se girta Pani
Thandi hawaon ki gudgudi
Kyunki ache lgte ho tum
Jab ye baarish si ho jati hai
-
Kaash Mai kahin cchup jati
Ojhal ho jati sabki nazro se
Mano aisa ki
Mera wazood hi na Raha
Khamoshi ka sath mil jata
Na koi shor ho na koi ummeed
Aur fir ek din
Aur fir ek din...
Mai kho jati
Aur dikhta muje
Chehro me Chupa Chehra
-
Kuch batein jab
Has kar sah Leni pare
Toh samajh lena chaiye ki
Hum mazbut ho rahe-
Kuch sawalo ke jawab nahi hote
Kuch adhure ke pure nahi hote
Kuch nazro ke liye drishya nahi hote
Kuch raasto ki manjil nahi hoti
Kuch safar ke hamsafar nahi hote
Aur kuch sapno k liye nind nahi hoti
Aur ye kuch jinke pas hote hain
Unhe kuch aur ki jaroorat nahi hoti-