Wo mohabbat kuch aisi thi,
Ibadat si khalis thi
Na unke pyaar se inkaar tha, na nafrat pe aitbaar tha
Na unhe paane ki hasrat thi, na khone ka darr tha
Na unke aane ki ummeed thi, na jaane ka gamm tha
Na unki wafaaon ki khwaish thi, na bewafayi ka azm tha
Wo mohabbat sirf itni thi,
Bs unki khushi tk hi simti thi.
-