Tumse behtar kisi aur ko paana aasaan kahan,
Tumhare layak khud ko banaana aasaan kahan...
Boond boond kar paani toh bhar liya hai maine,
Magar is taalaab me ravaani laana aasaan kahan.
Aansuon se saari tijaarat poori kar li hai maine,
Abb yahan mujhe aur rulaana aasaan kahan..
Baat sirf yeh ki zinda hoon zindagi ke bina bhi,
Marr jaata, par yahan marr jaana aasaan kahan.
Yeh marne ki baat toh bahot badi ho gayi "Aadil"
Yahan raaton me khud ko sulaana aasaan kahan.-
8 AUG 2022 AT 2:18