Sohaib Hashmi Aadil  
429 Followers · 288 Following

read more
Joined 27 September 2017


read more
Joined 27 September 2017
15 JAN AT 8:15

Dil behlaa hai savere savere,
Jaam chhalkaa hai savere savere.

Nizaam-e-qudrat ho gaya tabah,
Chand niklaa hai savere savere.

Humen jagaana aaj nahi bas,
Khwaab milaa hai savere savere,

Kar rakhaa hai mohabbat ko qaid,
Ishq tadpaa hai savere savere.

Raat guzare sukoon se 'Aadil',
Yehi dua hai savere savere.

-


9 JUL 2024 AT 18:20

Uss hijr ke baad, kahin dil lagaya nahi
Pass hokar bhi tumne mujhe apnaya nahi

Maaloom tha ki muheeb hoga yeh safar,
Jaane kya soch ke khudko bachaya nahi

Kuch itna door ho gaya hoon main tum se,
Ke ek arse se teri yaadon ne rulaya nahi...

Kuch sard toh par gaya tha main bhi,
Tum ne yun hi toh mujhe jalaya nahi...

Tum toh samajh leti thi saari duniya ko,
Toh kyun mujhe samajhna aaya nahi..

Hum aakhir kaise ruk jaate yeh batao 'Aadil',
Uss ne aawaz toh di magar bulaya nahi...

-


24 NOV 2023 AT 14:57

Naa koi zindaan, naa hi apne pairon mein zanjeer dekha,
Phir bhi jaane kyun jab aayine mein dekha to ek aseer dekha....

Husn kuch aisa ki misaalen bhi kam pad gayin hain dene ko,
Samajh lo ki main ne shahar ki tang galiyon mein Kashmeer dekha...

Jab ho gaya muntazir yeh dil uski har khabar ke liye,
Uss gali se aate har shai mein maine ek basheer dekha...

Karam tha Khuda ka ki sehatmand hua karta tha main,
Gasht-e-chashm-e-yaara dekha, phir har dawa ko be-taaseer dekha

"Aadil "Jo uski muskurahat ne bana daala iss dil ko shayar mere,
Phir kabhi naa Ghalib, naa Faiz aur naa Meer Taqi Meer dekha...

-


18 SEP 2023 AT 3:33

Aye Raat! Aaj phir tum se baat karna chahta hoon,
Bahot keh diya maine, aaj teri aawaz sunna chahta hoon.
Abb nahi khwahish meri ki main chaand taaron ko dekhoon,
Aaj bas tere ghup andhere me bilakhna chahta hoon.

-


17 SEP 2023 AT 2:15

Kabhi kuch seh liya toh kabhi kuch keh diya,
Tumne jahan bhi rakha zindagi me, reh liya..

-


26 APR 2023 AT 0:48

Tumhe rok lene ki haisiyat nahi thi meri,
Tum sochti rahi ki neeyat nahi thi meri...

-


8 AUG 2022 AT 2:18

Tumse behtar kisi aur ko paana aasaan kahan,
Tumhare layak khud ko banaana aasaan kahan...

Boond boond kar paani toh bhar liya hai maine,
Magar is taalaab me ravaani laana aasaan kahan.

Aansuon se saari tijaarat poori kar li hai maine,
Abb yahan mujhe aur rulaana aasaan kahan..

Baat sirf yeh ki zinda hoon zindagi ke bina bhi,
Marr jaata, par yahan marr jaana aasaan kahan.

Yeh marne ki baat toh bahot badi ho gayi "Aadil"
Yahan raaton me khud ko sulaana aasaan kahan.

-


14 FEB 2022 AT 20:49

Mohabbat aisi ki kahin shadeed kahin sehmi rahi,
Kahin humen khush-fehmi toh kahin galat-fehmi rahi...

-


31 JAN 2022 AT 20:34

Naa ghar bulaata hai, naa shahar bulaata hai,
Hum woh musafir jisse har safar rulaata hai...

-


31 OCT 2017 AT 10:44

Ek arse baad jab hum mile toh usne poocha ki kaisi chal rahi hai zindagi ...
Ab kya bataen use ki jab se alag hue , chalta raha sirf waqt , tham gayi zindagi .......

-


Fetching Sohaib Hashmi Aadil Quotes