Sofiul Ahmed  
0 Followers 0 Following

Joined 9 May 2020


Joined 9 May 2020
22 NOV 2021 AT 20:58

Humare pyar Ko koi tawaju mile
Itne khusnaseeb hum nahi
Humare dil ka hal woh samjh paye
Yeh humare Naseeb mai nahi

-


16 NOV 2021 AT 22:45

Sorry
Thankyou and
Love you
Tab tak na bolo jab tak
Samne wala inhe samjhne k kabil na ban jaye

-


16 NOV 2021 AT 22:25

Zindagi ki raho mai itna aage hum chale aye
Bachpan ki woh befikri k chal hum kahi bhul aye
Kitabo k bojh se parikhsao k fikr se ghabrate toh hum tab bhi the
Par jaise sahem k baith jate hai aaj aise fikrbaz toh hum Kabhi nhi the

-


16 NOV 2021 AT 22:16

Hum majboor hai
Na hum apko yeh keh sakte ki hum jalte hai
Ki hum jalte hai undar se
Ki undar se humari ruh tarapti hai apko har bar unse muskura Kar bat krta dekh
Ki hum majboor hai
Ki apko hum dikha nahi sakte ki andar ka ashiq kyu be maut har din Marta hai
Ki hum majboor hai ki yeh dil apke liye hi dharkta hai
Ki hum majboor hai ki yeh bewajah apse inteha mohabbat karta hai
Ki hum majboor hai ki yeh kaynat Hume aap par dikhta hai
Hum majboor hai ki yeh Dil app hi se ishq krta hai
Hum majboor hai.

-


9 AUG 2020 AT 0:04

Koshish a hajar ishq par humne jaroor kiye
Fir bhi ayi na bahar humare ishq k liye
Koi khami thi humare izhar mai zaroor
Jo najar ayi uhne humare ishq ka fitoor

-


16 JUN 2020 AT 23:39

Khusiyan chandi k bartanon mai parosa nahi jata
Khusiyan Kamyabi ki sidiyo se tola nahi jata
Khusiyan ehsas hai isse facebook ya insta pe # # se pura nhi kiya ja sakta
Isse mehsus krne k liye apno k sath kuch waqt jarur hai bitaya ja sakta

-


3 JUN 2020 AT 21:43

Jiwan ki naya mai doob kar hai yeh sikha
Behna hai pal pal mod jitna bhi ho tikha
Manjil ki fikr mai hum aaj ko kyu duboye
Jab khona hi hai dariya pe toh fir kalse kyu ghabraye.

-


2 JUN 2020 AT 23:38

Likhne ko toh hale dil bayan hum kare,
Kehne ko toh asman mai sitare hum bunne,
Sunane ko jab woh sath hi agar na ho toh
Apne jajbato ko bayan kya hum kare

-


9 MAY 2020 AT 22:54

Reh gayi woh sari batein jo tumko hum na bata paye
Woh kuch khaab aise the jinhe tumse na baat paye
Kisi roj janaje k baad jab khulegi ankh humari
Duwa hai rab se ki tumhe apne karib paye.

-


Seems Sofiul Ahmed has not written any more Quotes.

Explore More Writers