sneha kumari  
10 Followers · 1 Following

Joined 22 March 2020


Joined 22 March 2020
23 MAY 2020 AT 1:10

Duriyan etni badh gayi ki, feeling btane k liye bhi status lgani padti hai 😥😥😥

-


14 MAY 2020 AT 0:56

Bahuton ne bahut baar suna hoga...hamari Bahu Sasuraal walon ko ijjat nahin deti...hamesha Maayke hi baat krte rehti hai.. saas ko maa saman nahin manti...nand ko bahan saman nahin janti...aur na jane kya kya...
Ab un sab logon se mera sawaal hai...
Kyun de wo aapko Maayke jaisa samman,
Jab ho rha ho har roz uska aur Maayke ka apmaan,
Galat to galat, sahi pe bhi kisne usko samjha,
Sare sasuraal wale ek taraf aur bahu ghar ki ek taraf,
Ehsaas use bhi to ho, ye uska bhi hai ghar,
Ek se kha suni huyi bhi to baki to na kro use beghar...


-


10 MAY 2020 AT 23:30

Es such se to wo jhuth hi accha tha ... Jisme khushi milti thi ye dekhkar ki
mai aapki aadha hissa hun,
Mai humsafar, mai humraaz hun....

-


3 MAY 2020 AT 9:52

Aaj Ramayan Dekh K Samajh Aaya, Maryaddit to Mata Sita Thi...
Ek nari ki hai yahi kahani,
Swach, nirmal hriday uska, mano bahta pani
Naam ho chahe uska sita ya Rajrani,
Chalti hardam auron ki manmaani,
Nari to tu bahta pani...

-


2 MAY 2020 AT 23:53

Naari ki hai yahi kahani,
Dekhi aaj Ramayan purani,
Tab bhi Sasuraal me wo akeli khadi thi,
Bahu to thi ayodhya ki, phir bhi jali thi,
Satyug me bhi nari ne hi di thi kurbani,
Dekhi aaj Ramayan purani.

Nari ki hai yahi kahani,
Sasural mein hai naukrani,
par bulate sab maharani,
Na karti wo mayke jaisi ab shaitani,
Badi ho gayi papa ki bitiya rani,
Ghar parivaar sab sambhale rakhti syani,
Kalyug me bhi Sasuraal walon ki hoti manmani,
Dekhi aaj Ramayan purani.

"Badal Gaya Sab Samay K Sath,
Par Nari badli nari ki Daastan...."

-


25 APR 2020 AT 11:35

Mere Aashuon Ko Ghadhiyali Aansu V Usne Hi Btaya, Jiske Liye Ye Aanshu Nikle....

-


24 APR 2020 AT 23:03

Ek ghar todkar wo dusra Jahan basati hai,
Pyar, apnapan aur visvaas se pura ghar mahkati hai...
Sharm kro apni bahuyon pe Panchayat krne walon,
Padosi nahin, apni hi bahu budhape me, saas sasur ka beraa paar lgati hai..

-


24 APR 2020 AT 22:52

Do do ghar k chakkar me nariyan huyi bejaan,
Na mayka rha apna, na apna paya Sasuraal..

-


23 APR 2020 AT 22:49

Bina ijjat, maan, samman k sasuraal mein jeena, ek bahu k liye bahut dukhad hai....

-


23 APR 2020 AT 22:46

Bus kar aye jindagi, aur kitne imtehaan legi
Luta diya maine sab apno k liye, ab kya jaan legi....

-


Fetching sneha kumari Quotes