Yaa toh bol do ki mujhse pyaar karte ho
Yaa phir dekh lo mujhe kisi aur se pyaar karte hue-
Apne jazbaaton ko karte nahi ignore
Chalo karte hai aaj tho... read more
Mana ki mujhe bechain kar rahe ho tum
Magar phir sukoon bhi bhar rahe ho tum-
Mushkilon se bhare wo lamhe the, jo unke bina guzar gaye hai
Kuch vaade aise bhi the, jinse wo khud hi mukar gaye hai
Dil ko kabhi itna bebas aur lachaar nahi dekha
Par unki bewafaayi dekh li, ab toh hum har kisi se darr gaye hai-
Sabhi ko apna bana leti hun
Par har baar ki tarah akele reh jaati hun main
Apne andar ke uthte toofan ko samet leti hun
Par har baar ki tarah kuch keh nahi paati hun main
Sabhi ke baare mein sochti hun
Par har baar ki tarah unhe apni peeda samjha nahi paati hun main
Apno ki khushi ke liye khud ko uljha leti hun
Par har baar ki tarah khud ko bhi kahin bhool aati hun main-
Kaun kehta hai ki aaine mein sab kuch saaf dikhta hai
Hakikat mein toh ye aaina hamesha ulta hi dikhata hai-
Muskurahat ki keemat tab samjh aati hai
Jab aansu aankhon apni mein jagah banati hai-
Mere ho kar bhi wo mere ho nahi paaye
Aakhiri baar unhe gale laga kar hum ro nahi paaye
Naa jaane kaise itni aasani se wo kho diye mujhe
Aur idhar hum hai jo aaj tak sukoon se so nahi paaye-
Aaj tumhare bagair royi hun
Shayad kal tumhare liye roungi
Tum toh chhod doge
Magar main nahi chhod paaungi-
Tumhare upar ek poori kitaab likh sakti thi main
Magar tumhe toh sirf ek panne mein simat kar rehna tha-