Tumhe paane ki chahat ne
Hume tumsa bana diya,
Tumhe tum na pasand aye
Toh humne kya gunha kiya?-
Apne ehsason ko sabdon ka roop deadeta hunn...
@Aint_A_Sha... read more
Speak.
Know what to speak.
Know how to speak, what you speak.-
" Truth struggles to prove itself,
when people give the lies in their mind the nameplate of truth. "-
Mere hise ka neend bhi
Tu puri karlena,
Tera sukoon bhara neend,
Mere neend se bhi jada sukoon deti hai.-
Kuch na kehna, aasan lagta hai,
Aur kehna, sabdon ka nuksan lagta hai,
Dil ki baatein chupane ko,
Bas ek jhootha muskan lagta hai.-
Kuch toh majboori rahi hogi,
Jo woh, itne majboor ho gaye.
Saath chalna tha jinhe,
Dekho kitne durr ho gaye.-
" Sach ko apna lo toh wo amrit sa hai; aur usse parhez karo toh ek dhima zeher jo til til maare. "— % &
-
Rooth jana bhi,
Pyar jatana hota hai.
Par itna bhi na rutho ki,
Pyar nibhana bhul jao.— % &-
Jinhe paane ke liye,
Duniya bhar ko paraya kar diya,
Aaj wo paraya kiye toh,
Koi apnane ko na raha.
Unka dard mitane ke liye,
Unke aansuon ko apna liya,
Aaj mera dard dikhane ko,
Khudke aansu bhi saath na raha.-
Dekh ke jinn aankhon ka noor
dewana hua karte thea,
Kya unn aankhon se phir aankh mila payenge?
Dekh ke wahi purani noor unn aankhon mein,
Sharmindagi mein bhi,
kahan aankh chura payenge!-