Log apna kisi insaan ko aadi karke
Kaise rehte hain kisi aur se shaadi karke-
Kuch log paraye apne se
Kuch log hain apne paraye se
Kuch log khushiyo'n ke taane baane
Kuch log ghamo ki chadar hain
Kuch log jo hum pe hanste hain
Kuch log hamein samjhate hai
Kuch log zakhm de dete hain
Kuch log marham ban jaate hain
Kuch log toh hain veerane se
Kuch log zara aabad se hain
Kuch log toh hain bhole bhale
Kuch log bade chalak se hain-
Mujh ko nahin qubool ye dastoor, mua'zrat
Jab keh diya toh mat karein majboor, mua'zrat
Meri ana ko aapke huqmo se bair hai
Dekhein janab aap se bharpoor mua'zrat
Inn lafzo ki adayegi dushwaar hai mujhe
"Tasleem","ji,''"baja","sahi","manzoor", mua'zrat
Qurbat badha ke apni ghata lu'n mai ehmiyat
?
Behtar rahega mujhse rahein door, mua'zrat !
Mujhse tawaqqo aap na rakhe ru'joo ki
Khudgarz aap hain, toh mai maghroor! mua'zrat-
Kuch log zindagi mein khushboo ki maanind hote hain
Jo paas nahin hote nazar bhi nahin aate
Lekin unki chahat unki ki khwahish
Taumr hamari soch mein hamare alfaz mein
Aur hamari zindagi ke har pehlu mein hamesha mehekti rehti hai šš„°-
Meri manzilein, mere raaste
Meri har dua tere waaste
Mera sukoon tu mera karar tu
Mera Maan tere waaste
Tujhe har qadam pe khushi mile
Kabhi gham na tere qareeb ho
Meri saansein tere waaste, meri rooh tere waaste
Garz ye meri zindagi tere waaste
Mera intezar tere waaste
Meri har dua tere waaste-
Aaj dil ne kaha chal karein pyaar phir
Ye jawani ke din phir kaha'n aayenge
Do qadam chal ke bas hum wahi'n ruk gaye
Soch kar apna anjaam darne lage
Ju'n hi pahuche mohabbat ki basti mein hum
Padh ke lahaul waa'n se guzarne lage
Tauba kar li hai humne mohabbat se bas
Humne bahut kuch saha hai yaha'n
Par kabhi bhi kisi se na shikwa kiya
Bojh jab hum pe gham ka pada bepanah
Toot kar misl e sheesha bikharne lahe
Ju'n hi pahuche mohabbat ki basti mein hum
Padh ke lahaul waa'n se guzarne lage
Tauba kar li hai humne mohabbat se bas-
Fasiqana shayri ko aarifana kijiye
Khair ke raste mein haa'il nafs ka daldal na ho-