Kya thi kami, ki main kehna saka?
Tum mere paas hi toh thi,
Par tumhe apna banana saka..
Kuchh tha, jo mujhe bhi kehna tha.
Kuchh tha, jo sirf tumhe hi batana tha.
Fir kya hogaya ki maine kuchh kaha hi nahi!
Tum mere paas hi toh thi..
Kaho na, kya tumne bhi kuchh suna nahi?
Mere khamoshiyon ko na samjho na sahi,
Kaise tumne mere aankhon ki namiyon ko nazarandaz kar diya?
Kahani aise toh shuru nahi huyi thi?
Ishq-mohabbat toh hamare beech bhi tha!
Fir ye kis mor pe aagaye hum ki..
Mere kuchh panneh palat te hi,
Tumne toh aakhir kar hamari kahani ko hi khatam kar diya.-
Sk Soyab Ali Β
(Soyab)
62 Followers Β· 8 Following
Storyteller. Daydreamer & good Listener.
Joined 30 August 2017
25 JUL 2021 AT 12:55
20 APR 2021 AT 10:59
Agar milna muqaddar mein hai
Toh aakhir mein mil hi jayenge..
Ab tum milne aao mujhse ya main milne jau tumse,
Baat toh ek hi hai..-
3 MAR 2021 AT 12:28
Apno se kehna padta hai ke apne hai hum..
Ye jo apne hai inhe dikhana padta hai ke apne hai hum..
Har roz in apno se ye jatana bhi padta hai ke apne hai hum..
Kambakht ye kaise apne hai jinhe har waqt samjhana padta hai ke apne hai hum..!-
28 FEB 2021 AT 12:25
Kuchh toh wajah zaroor hogi..
Warna bewajah aajkal kaun yaad karta hai !-
15 FEB 2021 AT 12:06
Agar main bayaan karu alam apne haal-e-dil ka,
Toh ye sunne waale khud ko sambhal nahi payenge..-
11 FEB 2021 AT 12:10
Gira zaroor tha, lekin tuta nahi..
Jhuka zaroor tha, lekin ruka nahi..-