Hai kayi shikayatein tumse magar sunaungi nahi
Lakh koshishon ke baad bhi pyar vo Mila nahi
Har pal ye khayal man me aakar mukar jata hai ke....ab ye mujhse hoga nahi..
Rokleti hu khud ko khafa honese, kyunki pata hai tu manayega nahi
Pochleti hu aansu peeche mudkar..
Kyunki...mere ansu pochne bhi tere pass waqt nahi-
Tere is pyar ke khatir har roj intehan de rahi hu
Rishton ko bachane ke khatir khud se bichad rahi hu
Kisi or ki khushiyon ke khatir khud ke katal kar rahi hu
Dard se chupne ke khatir duniya se door bhaag Rahi hu
Kya khel hai jindagi ka ghoom fir ke vahi dor se jud rahi hu-
Aaj pata nahi sabko ham kaha se yaad aagaye,
Women's day ke naam pe khaas bangaye,
Din ke raat hote hi jaise darwaza bandh karte hai..
Aaj bhi aurat ke paida hote hi uske naseeb bandh hojate hi.
Kahi beti bankar,kahi bahu bankar
Kahi beewi Bankar to kahi maa Bankar..chokhat hi sarhad banjate hai.
Zimmedari,Ghar ki izzat,duniya ka dar aur samaj ka soch bankar rehjate hai.
Chupke se chadar odke apni dastan un takiyo ko sunate huye so jate hai.
Kisiki izzat ke liye
Kisiki gusse ke liye
Kisiki soch ke liye toh
Kisiki pyar ke liye..jhoote makhote lekar... phir ek subah
jaagte hi.-
Sochte hi sochte aasma kab kaidkhana bangaya pata hi na chala
Baato hi baaton me baagh kab ye banjar bangaya pata hi na chala
Ab paayalon ki vo goonjna nahi bediyon ki khat khataahat aati hai
Muskurane ki shor nahi aansuon ki khamoshi satati hai
Jinda rehte the pehle... Jeena kab chod diya pata hi na chala-
Kisine humse poocha ki hum lafzon ke mohtaj kyu hogaye ...
Ye lafz hi to hai Jo kabhi hame akela mehsoos nahi karvata
Ye lafz hi to hai Bina hichkhichaye hum sare bate baat sakte hai
Hum jindagi ko khul ke apne lafzon mein jee sakte hain
Jo khamoshi me bhi hume samajhta hai
Jo gusse me bhi shikayat nahi karta hai
Jo chup chap Humara dard baat ta hai
Har khusi me saath nibhata hai
Har aansu ko apna samajhta hai
Ye lafz hi to hai hum jaise akelon ka chhat banta hai, sukoon banta hai,aur har vo rishta Bina bole hi nibhaleta hai...ye lafz hi to hai jisse hum ...hum bante hai.....-
Aaj kal khule kitabon me bhi Raaz Nazar aa rahe hai
Rishte shatranj ke chaal bicha rahe hai
Mohabbat ke mehfile hogaye be naqab,
Wafai ke khisse toh bachon ko sunane Wale Raja Rani kahaniyo me Paya ja raha hai.
Meri pyar ki izhaar to uske Kano me gunja hi nahi...
Vo toh kisi aur ki awaz sunne ko taras Raha hai..-
Pyar ki mitti se bane hai ham
Rishton Ko sametne saje hai ham
Khushiyan ko baatne nikale hai ham
Kamzori ke mohtaj nahi mazbooti ke Taj hai ham
Haalat se majboor nahi himmat se bane hai hum
Sabr ke saye aur Mamta ke gulam hi ham
Har haal me ummed ki kashti chalate hai ham
Har haalat..har mushkil ke liye hosle hai hammm-
Aaj humpe sawal aaya hai,
Bebuniyaad baton pe ilzaam aaya hai
Suljhane nikale toh aur ulajhte hi ye doriyan
Khamoshi ke shikar hote hai humari nadaniya,
Ladkhadate dil hai yaha
Galat fehmiyo ka baag hai jaha(duniya)
Duniya toh sawalon ka mela hai,dard hai to khabar ye apno se aaya hai..aaj humpe sawal aaya hai.....
-
Mehman hi sahi ek baar hamare mehfil mein tashreef le ate
Tujhse na sahi tere aankhon se guftagu karlete
Tera deedar miljata... duniya bhulkar tujhpe tawajjuh hojate .
Hath na sahi Tera pyar pakar naseeb ko mukammal karlete-