*_घर से निकल कर वापस घर_*
*_हिफाज़त से लौटना ऊपर_*
*_वाले का ऐसा करम है जिससे_*
*_लोग समझ नहीं सकते।🤲_*-
Main ek bahut hi simple sa ladka hun
Bahut zyada koi khwahish life nhi rakhi mai... read more
Mandir me bhi oonch neech ho
Ye Quraan nhi kehta
Sati bana do Roop Kunvar ko
Ye Ghanshyam nhi kehta
Desh ke Gaddar on se keh do
Dharti jaan se pyari hai
Hindu Dharam se Nafrat Krna
Ye Islam nhi kehta
Masjid ki Deewaren Todo
Koi Ram nhi kehta
Desh ke Gaddar on se keh do
Dharti jaan se pyari hai
Mulla, Pandit aur Netaon ki
Yaaron ye Makkari hai
Desh ke Gaddar on se keh do
Dharti jaan se pyari hai
Pehle tyoharon me bhi
Hindu, muslim milte the
Lekin zehar ghola hai aisa
Kaisi ye Makkari hai
Shakl na dekhe ek duje ki ab
Aisi nafrat jari hai
Desh ke Gaddar on se keh do
Dharti jaan se pyari hai
-
Kaun hota hai bure waqt ki Haalat ka Shareeq,
Marte Waqt Aankhon ko bhi dekha hai k fir jati hain
Ek chehre se utarti hain Naqaben kitni,
Log kitne hme ek Shakhs me mil jate hain,
Waqt badlega to is baar main poochunga usse,
Tm badlte ho to kyn log badal jate hain
-
Jo ye mandi ka zamana hai
Zra Guzar jane do ise
Fir pata Sabko chalega
K meri Keemat kya hai.-
*Ziyarat E Quboor (Qabar) Ek Khoobi Hai Magar,...!*
*Wahan Ki Tayyari Karna Zaroori Cheez Hai...!!*-
Shukr ada Karte Raha Karo Us Rab Ka Jo Bardasht SE Zyada Dukh nahi Deta Magar Auqaat Se Zyada Sukh Zaroor Deta Hai*
-
आहिस्ता आहिस्ता मगर लगातार चलना...!
कामयाबी की ज़मानत है...!!
Aahista Aahista Magar Lagatar Chalna...
Kamyabi Ki Zamanat Hai...!!-
╭•┄┅═<<<❁✿✿✿❁>>>═┅┄•╮
*❀ आज की तारीख ❀*
╰•┄┅═<<<❁✿✿✿❁>>>═┅┄•╯
मायूसी एक धूप है जो...!
सख़्त से सख़्त वजूद को जलाकर राख कर देती है...!!
Mayusi Ek Dhoop Hai Jo...!
Sakht Se Sakht Wajood Ko Bhi Jalakar Raakh Kar Deti Hai...!!-
Ek Zamana tha jab Mobile girta tha to battery nikal Aati thi,
Aur aaj ye waqt hai ke jab Mobile girta hai to Dil, gurda Kaleja aur Aankhen bahar aa jati hain.
-