Simran Kaur   (Simran Kaur ❤🥀)
1.4k Followers · 14 Following

Joined 2 April 2020


Joined 2 April 2020
15 JAN 2023 AT 20:04

Baat hamari thi na, to faisle usk he kyun the,
Tut'ti to main bhi thi par sahaare usse he kyun mile....
Usse paane ki chaahat mein,
main to yaha tanha he reh gayi....
Logo ne to bas ussi se pucha tha haal,
Naa jaane kyun main bewafa ban gayi....
Faisle to uss k the to kyun main tanha reh gayi,
Haal bhi na bata saku aisi kyun haalat ho gayi....
Koi dekh na le aasu mere, main to hasna sikh gayi,
Gamon ko chupate chupate na jane kab main itni badal gayi....
Ye khel tha mohabbat ka akhir harna to mujhe tha he,
Ek sawaal hai jo aaj bhi mujhe sataata hai...
Akhir kyun main tanha he reh gayi?

-


23 JUL 2022 AT 23:31

Guzarte waqt k sath sabne apna asli rang dikhaya hai,
Apna kehne walon ne he sabse phele haath churaya hai...
Vo jo kehte the sath denge har bure waqt main tumhara,
Aaj unhone he badnaam humein iss shahar main kiya hai...
Log badalte hai ye to sab jante hai magar apne he hai jo humse jalte hai...
Yaha kisi ki khushi koi dekh nahi sakta,
Aage badhne wale ko kabhi koi rok nahi sakta...

-


2 MAY 2022 AT 22:21

Duriyan toh bass kuch sheron ki hai,
Dur tu mujhse ab bhi nahi....
Teri mehak to aaj bhi mujh main basi hai,
Tu tu hai meri jaan tujhsa koi or nahi....
Or ye jo tera hasta chehra hai vo mujhe aaj bhi pasand hai,
Tera mere sath na ho paana fir bhi har waqt tera he zikr hona ye mahaz ek ittefaq nahi....
Duriyan to bass chand dino ki hai ye ek din khatam ho jaengi hum fir ek sath honge,
Yeh ishq hai meri jaan tumse hai aur sirf tumse he rahega....

-


19 OCT 2021 AT 20:05

Kabhi waqt mile to humare bare main bhi soch lena,
Tere he diye zakhmo ka haal bhi kabhi puch lena....
Apno se bhi jada tujhpar vishvaas kiya hai humne,
Iss matlabi duniya main bina kisi matlab k bas tujhse pyaar kiya hai humne....

-


18 OCT 2021 AT 20:32

Umar bhar sath nibhane ka waada kar,
Tum to uhi chor gaye....
Abhi to sikha he tha zindagi jeena humne,
Magar tum to adhe rastein main he bhatkta chor gaye....
Ab tum saath nahi ho to rasta dekhega kon,
Meri galtiyon par mujhe samjhaega kon,
Mera haath pakad mujhe sadak paar karvaega kon,
Tumhari tarah meri parwah akhir karega kon?

-


17 OCT 2021 AT 19:14

Ab to ye saal bhi khatam hone ko aaya hai,
Mere sapno main bhi tu ab jata nazar aaya hai....
Ab to Teri yaadein bhi mujhse muh morti nazar aarahi hai,
Lagta hai tu kisi or ki baahon main samaya hai....
Ab to tujhe paana bhi mehaz ek khwab sa ban gaya hai,
Sapno main tu khoobsurat or Haqeeqat main ek ghaav sa ban gaya hai....
Iss zakhm ka ab koi ilaaj nahi,
Tujhe Paalu vapas zindagi main mere ye zindagi bhi itni asaan nahi....
Main chah kar bhi tujhe pa na saku tere khwabon sang zindagi bita na saku,
Ye Haqeeqat hai zindagi ka mere tu ja chuka hai chor kisi or k liye.....

-


31 AUG 2021 AT 19:20

Haan maana laakho k bich humein sirf tum pasand aae ho,
Iss baat par itrana tumhara zaruri bhi hai....
Magar tumhara waqt nickal kar humein waqt dena bhi zaruri hai....
mera tumse u rooth jana or tumhara mujhe manana bhi zaruri hai....
Tumhara mujhe vo pyaar se dekhna or mera u nazrein churalena bhi zaruri hai....
Ye mohabbat hai meri jaan tumhara hona he bas mere liye zaruri hai....

-


30 AUG 2021 AT 19:32

Agar main tumse ruthi to tum manane to aaoge naa,
Chup chaap agar kisi kone main bethi rahi to meri narazagi ki wajah puchoge na....
Zindagi bhar saath nibhana or mujhe har baar mana lena kabhi choroge to nahi,
Meri bachkaani baaton se tum kabhi chidhoge to nahi...
Accha suno mujhe akela yun chor kr jaoge to nahi....

-


29 AUG 2021 AT 18:48

Tujhe kya khabar k phir kaise Meri maa ne mujhe sambhala tha,
Tere yaadon k samandar se kaise mainne khud ko bahar nickala tha....
Yun to har haadase ne humein kuch na kuch sikhaya tha,
Magar beshumar mohabbat k baad nafrat karna bas tumne he sikhaya tha...

-


28 AUG 2021 AT 20:39

Bhid main bhi khud ko akela paa raha hu,
Apno k he hathon ab tut'ta jaa raha hu....
Roshni main ab dar sa lgta hai or,
Adhere main jeena ab asaan ho chuka hai....
Ye kaisi bebasi hai zindagi ki meri,
Thik na ho kar bhi khud ko thik bata raha hu,
Raaton main ro kar subha muskura rha hu....

-


Fetching Simran Kaur Quotes