Mohabbat ki riwayat mein saliqa yeh purana hai
Ussi ko yaad karte hain,ke jisko bhul jana hai
Bula kar lauga ek din sheher ke saare diwaane
Suna hai iss masjid ke piche mai-khana hai
Nahi hun saath main khud apne iss ladai mein
Aur Jaana tumhari aor toh saara zamaana hai
Doston se, mai-kadon se, na mehfilon se yeh mitega
Yeh jo mujhme aa basa hai, yeh gham shayarana hai
-
Thinker
Dreamer
Believer
Quotes here are my boldest opinions....
Muddat se khaali waqt mein sochta nahi hun main
Yaani ke saan le raha hu, zinda nahi hun main
Hai mumkin ke teri raaye ho tabdeel humse milkar
Woh jitna bata rahe hain bura, utna nahi hun main
Usse bicchad ke aaram aa hi gaya hai ab toh
Matlb ke ishq ab tak seekha nahi hun main
Har din apni zaat ke ek hissa gava raha hu
Na jaane kese ab tak Mara nahi hun main
Har raat iss zehen mein kuch log cheekhte hain
Yeh baat maan leeje, Tanha nahi hun main
-
Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha
Yun jaane ka irada liye tumhe aana hi nahi tha
Tabeeb ne pucha tha takleef ka sabab
Par yun humko gham-e-yaar batana hi nahi tha
Sunke hansta tha mein qissa-e-Qais-o-Farhad
Ab lagta hai haqeeqat thi, Fasaana hi nahi tha
Veeran thi pehle, ab hai sholon si dehekti
Dil ki basti mein tumhe deep jalana hi nahi tha
-
Haal Aisa bhi nahi ke tujhse kahein
Dard itna bhi nahi ke tujhse kahein
Ek Mudaat se na tawaqqo na maraasim
Ab koi rishta bhi nahi ke tujhse kahein
Humne chaha tha batein tumhe haal-e-dil
Kuch usse hona bhi nahi ke tujhse kahein
Jhut kehta hun, koi haal jo puche mera
tune puchha bhi nahi ke tujhse kahein.-
कुछ लफ्ज़ लिखे हैं फूलों से
उन्हें पढ़ लेना, खिल जाएंगे।
कुछ बातें भी करनी हैं तुमसे
पर तुम्हे देख के लब सिल जायेंगे।
कुछ ख्वाब देखे थे हमने, जो तुम संग पूरे करने थे
पर ख्वाब, वजीफे और दुआएं सब बे-हासिल जाएंगे
कभी हाल हमारा पूछोगी, तो हंस कर झूट बता देंगे
उन जख्मों को छूना क्या, छुओगी तो छिल जाएंगे।
बातें, यादें और तस्वीरें, लेकर अब हम चलते हैं
कुछ खत जो तुमको छोड़े हैं, मेरे जाते ही मिल जाएंगे-
Seene se lag ke ab woh, kaanpta na tha
Zaahir hai ab usko koi raabta na tha-
Nazron se door hai, dil se utar nahi gaya
Mujhse bicchad ke woh apne bhi ghar nahi gayaa.
Usne kaha tha ek din milte hain phir kabhi
Lekin mere mann se ab tak sabar nahi gaya.
Usse bicchhad ke hum bhi jee'te the, jee rahe hain
Mere bagair woh bhi to mar nahi gaya.
Jaane ka uske gham zyada hai issliye
Woh kyun gaya hai yeh bhi bata kar nahi gaya.
Tanhaiyon me umr guzaari hai shauk se
Lekin yeh dil-e-nadaan kisi aur dar nahi gaya.— % &-
Din din karke waqt guzarta jaata hai
Woh ek shaks har roz zara sa marta jata hai-
Woh ishq kar raha hai dekh bhaal kar
Baarish mein bheegne chala hai, Chhatri nikal kar-
Usse gale mila, uski khushboo le Chala
Mujhe Chaand na mila, to jugnu le chala-