Jab teri nigaahon ki roshni se ho zindagi roshan, toh diye ki kya zarurat.
-
Kehna tha humey kuch, keh gaye kuch aur.
Dena tha humey kuch, de gaye kuch aur.
In haseen nazaron aur chehron ki bheed me, chaha tha humne kuch, paya kuch aur.-
Kabhi kehna zaruri na samjha ki ishq hai aapse.
Aankhon ko dil ki baat padhne ki aadat si jo hai.
-
Nazar jo padi aap pe, hum wahi tham se gaye.
Na chehra dikha na aankhen, bas zulfon me gum se gaye.
Jo fera woh haath aapne zulfon pe, us lamhe me kuch jam se gaye.-
Bura waqt tikta nahi hai achhe insaan ke saamne. Par kambakht, kha zarur jaata hai andar se.
-
काश फूलों सी होती ज़िन्दगी भी।
पल में खिलती और पल में मुरझाती।
जब खिलती तो सबको खिला जाती।
जब मुरझाती तो सबको मुरझा जाती।-
Ae zindagi darkhwast hai tujhse, itna bachpana na kar. Apne ruth jaate hai.
Kabhi is kadar ruth jaate hai, ki rishtey tut jaate hai.
Ae zindagi darkhwast hai tujhse, itne khel na racha. Hum khel nahi paate.
Kabhi kabhar is kadar thakkar chur hote hai, ki jhel nahi paate.-
As she looked down from the railing, she was made to wonder... about her life so far, her friends, her brother, her father, her beloved mother, leaving all of that behind to start a new life. The uneasiness of the future and the hopes for it. All of that brought a sudden sadness to her mind. The sadness which generally brings you to tears. And she was no different.
-
Jaante hain hum aapko par shayad pehchante nahi hain.
Isi jaan, pehchaan ke khel me reh jaate hain maar khaye, par kabhi maante nahi hain.
-