Sehmi se koshishon mai
khudka sahara khudi hun
Hun hazaron ki bheed mai
Par Banjara sa khudi hun
-
Novice and Naive !!
I try to give words to feelings, situations, circumst... read more
Woh jo Ishq tha, ab kahin dafann hai
Yeh jo hai, bus Khusfehmiyan he hain-
Badi fursat se hasti hai yeh khaamoshi meri mujhpe
Kabhi esko mai tere saath bhula baitha tha barson tak
-
Teri khaamoshi mai woh lafz talashta hun Ik panne pe likh k jinhe mai bhul aaya hun
-
Kabhi en Hawaon ka bhi safar yun tou ho
Tere pass se guzrein aur ehsaas mujko ho-
Hui hain phr Ishq ki baatein, zikar tera bhi aaya hai
Badi Saadgi se tujhe humne, hassi mai chupaya hai-
Mai Hazaron bahane suna lunga dil ko
Tu bus saadgi se na mujhe dekh lena-
Kabhi Dewaali k ptakhoon mai tou kabhi holi k Rangoon mai
Khushi market se lata Hun, Lifafoon mai, Dabbon mai.-
Yeh Zaruraton ki Zindagi, Yeh matlabon ke Honsley
Mai Chand Din Guzaar k, Hun Kuch Thaka Sa Reh Gya-
Ab Waqt nahi milta unko bhi ae Khuda
Jo kabhi mujhe bewaqt bula liya krte the
-