Siddhant Majumdar  
54 Followers · 35 Following

Joined 16 October 2019


Joined 16 October 2019
23 SEP 2023 AT 0:07

Too tired of living, too afraid to die
Too full of sorrow, yet no tears to cry
Too keen to go ahead, too hurt to try
Too many contacts, yet no one to rely
Don't want to accept, but also can't deny
The hopeful prayers with a silent reply
Too used to the low, but I crave for the high
I wish I knew how, I wish I knew why

-


1 AUG 2023 AT 0:03

Jab ilaaj karne waali bimaari ban jaaye
Kisi aur ki hote hue humaari ban jaaye
Sadaa sang ki kasam kisi ki baari ban jaaye
Iska kya kiya jaaye, kya na kiya jaaye

Jab dawaa dene waali dagaa de jaaye
Jaane kis galti ki sazaa de jaaye
Saaso ke badle suni hawaa de jaaye
Iska kya kiya jaaye, kya na kiya jaaye

Jab nas naapne waali nas kaat jaaye
Zindagi se wo bhaag bin barsaat jaaye
Meethi goli mein jo zeher baat jaaye
Iska kya kiya jaaye, kya na kiya jaaye

Ab kya hi sawaal hai, aur kya hi jawaab hai
Aur kya hi sach hai, aur kya hi naqaab hai
Nafrat kaise kare ya pyaar kaise jataaye
Iska kya kiya jaaye, kya na kiya jaaye

-


3 JUL 2023 AT 3:18

Kuch paaya hi nahi jab to ye kya kho gaya
Mai maut se gehri neend mein kyun so gaya
Phir jo aankhein khuli to ye kaisi subah thi
Jiski roshni se chaaro or andhera ho gaya
Andhere mein bhatakti hui si jo aas thi
Uss aas ko pass laana mushkil sa ho gaya

Kuch paaya hi nahi jab to ye kya kho gaya
Mai maut se gehri neend mein kyun so gaya..

-


11 FEB 2023 AT 1:48

Nazro ki nazar se kabro ki khabar tak
Bastiyon ki masti se shehro ke zeher tak
Aalaap se pehle tumko ant gaate dekh liya
Tumhaare aane se pehle tumko jaate dekh liya

-


31 JUL 2022 AT 23:41

Kadar aaj bhi utni hi hai, bas jataana kamm kiya hai
Jabse tumne iss rishte ko nibhaana kamm kiya hai
Wo puraani yaado ko jalaa to na sake hum
Par unn yaado ne humko jalaana kamm kiya hai

-


3 MAY 2022 AT 13:51

Kabhi aadato mein, kabhi bahaane mein
Teri parchhai dhundi maine zamaane mein
Par tu na raha to kya reh gaya ab
Kuch kamaane mein, ya kuch gawaane mein

-


25 JAN 2022 AT 23:58

Kabhi sabko hasaaya karta tha,
aaj khud hasne se dartaa hu
Jis khud ne khudkhushi kar li,
uss khud ko yaad kartaa hu

-


1 JAN 2022 AT 8:55

Na jaane kis sapne, kis khayaal mein mile
Ab na jaane hum kis din, kis haal mein mile
Par dil se dua meri yahi hai rabb se
Ki tumko duniya ki harr khushi iss saal mein mile

-


27 NOV 2021 AT 1:58

Mauke aksar logo ko kamm milte hai
Tum to hass lete ho jab ghamm milte hai

-


11 NOV 2021 AT 3:06

Sab kehte hai, ki zindagi pe pakad hona zaroori hai
Par iss pakad ki seekh aisi hai jo sabki adhoori hai
Ki jo kaske tum pakdo, to kaanch si toot jaati hai
Jo barto tum narmi, to ret si fisal jaati hai
Jo maango tum sthirta to leher bann jaati hai
Jo pio tum leher ka paani to zeher ban jaati hai

-


Fetching Siddhant Majumdar Quotes