Wo saare mohabbat ke kisse jhuth se lagne lage the.. Wo saare shiddat ke hisse fareb se lagne lage the.. Fir humko aap mile.. Aur Un saare kisson par yakeen ho gaya.. Kuch is kadar humara khuda humein is zameen par mil gaya..
Parchayi bankar aapke saath saari zindagi chalne ka iraada hai... Todkar duniya ki saari rasmein aur kasmein aapke saath jeene ka waada hai... Ujalon mein to mil he jaate hain saath dene wale... Humara to andheron mein bhi apka saath nibhane ka waada hai.. Aur, Aapki afreen muskurahat ko apni ibaadat bana taa-umr fanaa ho jaana.. Humari rooh ko mukammal karne wala haseen iraada hai...❤️
Aap par ye zindagi vaar sakte hain.. Apna har din hum sanwaar sakte hain.. Aapsa afreen koi ni humari Jaan.. Aapki nayaab or haseen nigahein yun utar gayi humari rooh mein.. Ki hum aapko taa umr band aankhon se bhi nihaar sakte hain.. ❤️
Aapki Izzat humari Shauhrat... Aapki Khwaaish humari Chaahat... Aapki Khushiyan humari Raahat... Aapki Kaamyabi humari Hasrat... Aapki Mukammal Dastaan humari Ibaadat.. Aur Aapki Ruhani Aankhon ka noor humari Inaayat... Aap humari rooh ka wajood ho kuch aise.. Aapke milne se humein humara rab mil gaya ho jaise.. 😊