Wo waqt kya tha jab tumse meri nazrein mili thi ?
Jo bhi ho .. qayamat ki ahat hogi-
Email : askshubhamvidyarthi@gmail.com
Instagram: askshubhamvidyar... read more
Kayi bar hamare sapno se log dar jate hain..
Dar jate hain ki unhe kuch alag dekhna hai ..
Dar jate hain ki unke khwaab aise kyun nahi the..
Khwaab zindagi ka ek aham hissa hai..
Bina khwaab ke zindagi khubsurat nahi hoti ..
Khwaab dekhne aur pura karne ke hisse ki bich hi hum zindagi jite hain .
✨-
Khud ko dhundhna tha to tumhare pas aya.
Khud ko shant karana tha to tumko pas bulaya.
Khud ke wajood pe sawal tha ..
to tumne bharosa dikhaya .
Mujhe dusra ghar dene ke liye shukriya ✨❤️
Pehle ghar se bhi jyada apna pan hai is ghar mein ✨
~ Yours ‘‘busy bestie’’-
Tum aasan ho… Duniya uljhi hui hai..
Tum kinara ho… Duniya beech samandar mein hai..
Tum tez chalta waqt ho.. Duniya bund ghadi ki suyi hai..
Tum meri mohabbat ho.. Duniya meri mohabbat ka ek chhota hissa..
Tum mera ehsaas ho.. Duniya har kisi ki kahani hai..-
Kabhi kabhi tum jo bhi sochti ho ..
Main bilkul wo ho jata hun..
Tum jab samandar ke samne apni bahein failati ho..
To main samandar ho jata hoon.
-
Tum jab Sath hoti ho to chijein kitni asan lagti hain..
Wahi rastey jinse akele gujarna pahar pe chadhne jaisa hota hai..
Tumhare Sath chalne se wahi rastey khubsoorat safar mein badal jate hain.
Ye nahi pata kabtak humlog is rastey pe chalenge
Par jitna bhi chalenge ek dusre ke liye chalenge.-
Tumhare sath chijein kab jyada thi
Kab kum
Ye to kabhi samajh nahi aya
Par ek dariya pe sawar the hum dono
Jo aya bhi tha toofan ki tarah
Aur gya bhi toofan ki tarah.-
Ulajh ke jisme ..
Suljha hua pata hun khud ko..
Wo mohabbat ho tum 💌-
Safar hai..
Nind hai..
Khwaab hain..
Tum hoti to manjil bhi hoti.
-
Jis sheher ko tumne khas banaya mere liye..
Us sheher ko tumhare bina chodna bhi ek alag sikh de gya.
Tumko tumhari betuki baatein wapas
Tumko tumhari matlabi maffiyan wapas.
Mujhse tum..
Tumse main wapas.-