Woh kyun nah roothta, maine bhi toh khata ki thi,
Bahut khyaal rakha tha, bahut wafaa ki thi..-
• Got inspiration from Dr. KUMAR VISHWAS.
• I write because wri... read more
Kuchh nahi sirf uthaaya hai khasara Humne,
Kho diya sab se pasandeeda sitara Humne..
Beech dariya Mein rahe doobte uski khaatir,
Yeh nahi tha ki nahi dekha kinara Humne..
Tujhko yeh log kahin ka nahi chhodenge,
Tujhko roka tha bahut kar ke ishaara Humne..
Mujh se milne na sahi maut pe aa sakta hai,
Tujhko taqleef mein tha yaar pukaara Humne..
Hum hi latke rahe pankhe se shiqayat lekar,
Khud ko hi baad mein pankhe se utaara Humne..-
Meri tanhaai dekhenge, toh hairat hi karenge log !!!
Mohabbat chhod denge, ya mohabbat hi karenge log !!!-
Main dava poochhte phirta tha zamaane bhar se,
Bhar gaye zakhm tere haath lagaane bhar se..
Baad muddat ke bade chain se soya tha main,
Ud gayi neend tere khwaab Mein aane bhar se..
Ek tishnagi thi mohabbat ki kab se mere dil mein,
Muqammal huyi mahaz tere honth lagaane bhar se..
Ab toh lagta hai mastak hi chadhaana hoga,
Shankar kahaan sunte hain ab doodh chadhaane bhar se..-
Mohabbat se judaa jab faisla lenge,
Sab se pehle tera mashvara lenge..
Mohabbat ke kisi raastey pe hum agar,
Bhatak jaayenge toh tera pataa lenge..
Tere hothon se agar ek kaam lena ho,
Tere hothon se hum bass ek duaa lenge..
Hum jaise log jo ek baat na bhoolen,
Tujhe lagta hai hum tujhe bhula lenge..
Hum hi hain chaak aur hum hi koozagar,
Bikhrega agar tu hum Phir banaa lenge..
Sambhal baithe hain hum tere hijr se,
Ab hum marne ka dooja raasta lenge..
Jab kuchh bhi nahi hoga jahaan mein toh,
Hum tujhe sochenge aur muskura lenge..-
Tasveer jala di hai, kaanch baaki hai,
Abhi is malang ka aakhri naach Baaki hai..
Meri hi chita pe tanhaai aur main,
Do phere le chuke hain Paanch baaki hai..-
Dobara Ishq huaa ? Huaa ki nahi ?
Hum sa koi mila ? Mila ki nahi ?
Humaari chhodo, hum toh maayus hi theek hain,
Aapka dil lagaa ? Lagaa ki nahi ?
Hum toh banjar the, khil nahi sake,
Tumhe gul khilana tha, khila ki nahi ?
Hum toh tanha the, tanha hi rahenge,
Kisi ne tumhaara haath thaama ? Thaama ki nahi ?
Hum nasamjh the, samajh na sake tumhe,
Par kisi ne to samjha hoga, samjha ki nahi ?
Tum chali gayi, tumhe toh jaana hi tha,
Tum pe aakar koi thehra, thehra ki nahi ?-
Woh rehguzar meri raahon se kuchh yun guzar gayaa,
Dhoondhta Phir raha tha main Jaane kidhar gayaa..
Kisi ne kaha mat ja us rastey pe wahaan maut khadi hai,
Maine apni saans thaami hanste hanste udhar gayaa..
Dekha wahaan pe uski yaadon ka muqaam tha,
Phir main sambhaale na sambhla, turant bikhar gayaa..
Pehle bach-bachakar koshish ki maine wahaan se nikalne ki,
Sirf uski yaadon ka daldal tha, Phir main thahar gayaa..
Koi rasta koi manzil dikhaayi na di mujhe,
Kosa maine khud ko har pal, chaahe jidhar gayaa..
Phir huaa Yaqeen mujhe yeh Ishq hai badtar maut se,
Rab ne di duhai Ishq bandagi hai, main bass muskuraya aur muqar gayaa..-
Masarrat se guzri hain, tere hijr ki raatein,
Khudaya kitni pyaari hain, tere hijr ki raatein..
Tumhaare saath ke din chale kuchh ek mahiney bass,
Kai saalon se jaari hain, tere hijr ki raatein..
Jidhar se bhi main hota hoon haraa, woh kaat deti hain,
Liye haathon Mein shamsheer hain hain, tere hijr ki raatein..
Kisi ne humpe Vaari thin, dupahari shaam subahein sab,
So Humne uspe Vaari hain, tere hijr ki raatein..
Humesha ek andhera mere nazdeek rehta hai,
Mere din pe bhi bhaari hain, tere hijr ki raatein..
Jo hum mein aag hai tumse musalsal Ishq karne ki,
Usi par barfbaari hain, tere hijr ki raatein..
Bichhadna ek tarfa tha humaara is khaatir,
Ab humaari zimmedaari hain, tere hijr ki raatein..
-
Yeh bechainiyaan, yeh badhawaasi, aur yeh khaalipan,
Jaane kis mod pe le aaya mujhe mera deewanapan..
Din toh beet Jaata hai daftar ki zimmedaariyon mein,
Raat nichod kar mujhe deti hai mahaz akelapan..
Karwatein badalte, kuchh badbadaate, neend toh aa jaati hai,
Subah ko Phir gher leta hai mujhe yeh mera soonapan..
Zindagi ab kat rahi hai teri chand tasveeron ke sahaare,
Yahi tasveerein yaad dilaati hain mujhe mera adhoorapan..
Kahaan jaaun, kisse poochhun, dhoondhun kidhar tera nishaan,
Aise hi kuchh talkh sawaal karta hai yeh aawarapan..
Tu nahi hai, ja chuki hai, ab wapas nahi hai aane waali,
Itna khara ho chuka hoon main, kyaa khaak dariya Mein hoga kharapan..
Pehle tune Ishq kiya, Phir tukdon Mein mujhe baant diya,
Hichkichao mat, ab bataa bhi do, kisse seekha yeh dohrapan..
Haan ! Main ab bhi gin raha hoon saansein, Magar zinda nahi hoon,
Jaane kis mod pe le aaya mujhe mera deewanapan..-