Shruti   (shruti)
11 Followers · 11 Following

Joined 30 June 2019


Joined 30 June 2019
9 OCT 2022 AT 18:32

Lag gayii h mujhe kisi ki badduaaa
Varna vo shaks toh mujhpar jaan qurbaan karta tha ..🥺🥺♥️

-


9 OCT 2022 AT 18:31

Pura din akele guzarna
Tumhe soch kar muskurana ..
Dil ka dard ..
Akhon se bayaan karna ...
Tmharii muskaan yad karke ...
Ghnto khd se sawal karna ...
Tera naam un khawaisho ka hissa bnalena
Jinka mukamall hona asambhav h ....
Khd hi khud se rooth jana ...
Har vakt isi gum m rehna ...
Yehiiii h kuch aajkal zindigi meri

-


16 JUL 2022 AT 21:08

Kesa din h aaj
Assun tham hi nahi rahe ..
Aasman ki taraf dekhu
Toh vobhi ro raha h
Dil m bs tera khayal h

Tera bhi kuch yehi haal hoga na ??
mera khayal aaye toh bs apna khyal rkhna ..
Duaon par hamari aitbar rkhna ..
Dil m na apne koi sawal rkhnaa ...
Bs hameee pyaar karna 🥺

-


24 OCT 2021 AT 22:03

Bheegna toh dono chahte h , magar
Is barsaat m jo dono ko bheega sake
Ab vo baat nahii....

Saath baithe toh h hum ..
Magar saath baithne ke jaisey
Ab vo baat hi nahii ....

-


19 MAY 2021 AT 19:26

In hawaaon ki awaj h tu ...
Is baarish ki boondo ki khushboo h tu ...
Jo sunkar khush hojaye mera dil
Kch usii alfaaz jesa h tu...

-


14 FEB 2021 AT 21:56

Dil dukhta h mera bhii
Par sehna janti hu
Kyuki meri takleef se jada
Maa baap ki muskurahat jruri h

-


14 FEB 2021 AT 21:52

Dil ne maan liya tha..
Behad kareeb se jaan liya tha..
Bs kuch apne beech m agye..
Vrna mny toh tujhe sache dil se
apna hmsafar manliya tha ..

-


12 FEB 2021 AT 23:13

Kaash ! Kaash kabhi m tumse mili hi na hoti
Toh shayad tmhari vo sard raatein , itni dard bhari na hotii
Kaash tumne mujhe kabhi dekha hi na hota
Toh shyad aaj tmhari aakhein mujhe dekhne ko na tarastiii ...
Kaash ..kassh ...

-


12 FEB 2021 AT 16:13


ghr ki laadli ne kitni batein apne mn m dafnaiii h..
Bojh hona kya hota h , yeh baatein aaj smjh ayi h ..

Ro b na sake ..
keh b na sake ..shnti ki murat banii h
Vahii ladki jo pura ghar sir pr uthaleti thi
Aaj ek kone m chupchap khdi h ...

Papa ki izaat , maa ka guroor
Ke neche dabii h
Pyaar peche kheechra h ..
Par voo nahii jhukii h

Jaanti h sab kahtm hojyega ..
Pr maa baap ki aakhon ka aasun
Uski rooh se na jhela jayega
Na jhela jayega ...











-


5 FEB 2021 AT 16:28

Maaana m tmharii nahii ...
Par mulakat toh karenge ..
Hothon se na saahi ..
Akheon se toh dher sari baatein krenge ..

-


Fetching Shruti Quotes