Kuch alfazon ko apne andar liye rehta hu
Jaane anjane mein ye khudse kehta hu
Ki waqt, bewaqt apna khyal rakkha kar
Shor macha rahi hai duniya
Zara door thehra kar
Waadon mein khudko na tu itna bandha kar
Waqt mein piche kabhi, wo, dekhenge agar
Yaad karte honge jazbato se khelne ka asar
Kuch alfazon ko apne andar liye rehta hu
Ghutt ghutt ke unke lie do pall zinda rehta hu-
Kyuki ab sharab Mai wo nasha nahi Jo humhe dooba sake.
the... read more
Aye waqt zara us waqt ko bhi samjha dena
Ki waqt theherta nahi hai kisi ke lie
Wo jo guzar gaya waqt wo guzra hi rehta hai
Badalta nahi wo kisi ke lie
Tum zinda ho abhi to kya gamm hai
Ye waqt bhi zara jee le Jo zindagi ki hai
Wo jo aanewaala hai uske baare mein kya sochte ho ?
Wo jo aaega tab bhi to sochoge ?
Wo jo ja chuka uspar ab kyu rona hai ?
Wo jo hain abhi usko tujhko jeena hai
Aye waqt zara us waqt ko bhi samjha dena
Ki waqt theherta nahi hai kisi ke lie
Wo jo guzar gaya waqt wo guzra hi rehta hai
Badalta nahi wo kisi ke lie-
Success shall come with huge sacrifice
Usually to them with a great heart
Family and friends are probably the very first of the things to let go
Potentially motive driven individuals aim to gain a lot of success just to finally find themselves isolated at a place alone
Those in search for success must understand the top of the peak is always solitary, lest you give up you cannot be on the top
Success sometimes needs you to sacrifice yourself in ways you never thought you would-
Usse uthne ke lie bhi
Baar baar marna hoga
Apne har ek zakhm ka
Aitbaar karna hoga
Zindagi rukti nahi hai
Kisi ke lie
Khudko rok kar
Kuch pall deedar karna hoga
Girte to sab hai idhar ya udhar
Apne har ek tiraskar ko
Chamatkar karna hoga
Usse uthne ke lie bhi
Baar baar marna hoga
Najane abhi kitna tyag karna hoga-
Aaj phir ek baar
un galtiyo ko dohraenge
kagaz ke jaise kore
wapas hojaenge
kisi aur ke syahi se
aaj fir ek kahani banenge hum
kisi band kitab mein rakkhe hue
Gulab banenge hum
koshish to is martaba bhi
hukumat ki hogi
aaj fir ek baar kisi aur ke lie
jangg ladenge hum
aaj fir ek baar
khudko mukkamal karenge hum
jo meri kabhi thi hi nahi
usko, paane ki koshish karenge hum
Aaj phir ek baar ...-
Unke gustakhiyo mein
Yu khamosh reh gaye hum
Raatien lambi hoti rahi
Aur bus ehsaas reh gaye hum
Wo shazishe, wo harkatein
Ab mehfooz rakhta hu
Kisi Andheri raat ke kone mein
Jab yu pighalta hu
Yu yaadein tumhari
Yaad aati nahi mujhe
Bus, Chu kar
Guzar jaaya karti hai
Kabhi kabhi mujhe
Unke gustakhiyo mein
Yu khamosh reh gaye hum
Raatien lambi hoti rahi
Aur bus ehsaas reh gaye hum-
The difference
What a punctuation can make
Is what I know.
And you my dear ...
Are the fullstop to my ending line.-
To all those wrong choices we have made
Regret nothing at all
To all those dreams you've made
Don't let them fall
To all those decisions you took
Own them all
They who've seen you succeed will know not your downfalls.
To all those downfalls
Learn them all
To the ones you're an angel
Bless them all
To the ones you're the devil
Burn them all
Don't know my story, don't judge me at all
What is right and what is wrong ?
Where there is right, there is a wrong.-
Ek arse baad
Kuch, likh raha hu shayad
Apne sapno ko
Udne ki
Ijazat, de raha hu shayad
Ek arse baad
Kuch, likh raha hu shayad
-
Unki gustakhiyo se unko samajhna
Shayad tumhari bhool thi ...
Wo har roz najane kitni maute marte honge
Is baat ka Shayad tumhe andaza nahi ...
Mein ye nahi kehta ke tum hairan nahi ho sakte
Thoda waqt aur diya hota to pehchan kar sakte
Uski zindagi ne usse sikhaya hain aise chalna shayad
Wo har baat par khamosh rehta hain, najane apne andar kitne sammundar samaye rakhta hai
Unki harkato se unko samajhna
Shayad tumhari bhool thi ...
Kabhi titliyo ko dekha hain ek phool pe baithe rehke ?-