Shreyansh Pathak  
18 Followers · 7 Following

read more
Joined 8 May 2019


read more
Joined 8 May 2019
22 JUL 2021 AT 0:56

Tum kitna kuch apne andar sama baithe ho,
Shayad isiliye is jagah aa baithe ho,
Zaroori bhi nahi har baat har cheez samhal Pana,
Jo bhi ho is jagah fir aana.

-


16 MAY 2021 AT 21:03

Mere zehen ki kehne ko alfaz kam pad rahe hai,
Mere dil ki batane ko andaz kam pad rahe hai,
Mein itni siddat se peecha chudata rehta hu khud se,
5 waqt ki hoti thi miyan,
Ab 2 namaz kam padh rahe hai..

-


25 OCT 2020 AT 11:47

Mein rahu teri yaadon mein, makan banana zaroori nhi.

Hai ishq tumse ab bhi har bar batana zaruri nhi,
Kaho to naam kar du sb kuch isi waqt tumhare,

Be waqt narazgi pe har bar manana bhi zaroori nhi.

-


26 SEP 2020 AT 7:48

Usne sajde mein jab padhi mujhe bhoolne ki dua,
Khuda bhi uska deewana ho gya,

Uske andaaz pe thi meri har dua qubool or fir mein begana ho gya,

Jinki subha ka intezaar kiya krte the raat bhar jaag kar,

Aj unke didar ko taras chuke hai hum, or aisa hote ek zamana ho gya...

-


18 SEP 2020 AT 21:39

Ek thake haare se lashkar ki taraf aata hu,
Apne hi ghar mein musafir ki tarah aata hu,

Mere dost mujhe thokar se kinare kar de,
Agar rah mein teri patthar ki tarah aata hu,

Mein aansu hu bht kamzoor sa aansu,
Jab aata hu to samandar ki tarah aata hu

-


16 SEP 2020 AT 21:22

Ashq beshak khamosh hai,
Shor mere seene mein h,
Ek maut ke to sabhi kayal hai,
Maza to mar mar ke jeene mein hai..

-


30 AUG 2020 AT 17:28

Khayal saki tha us bhawre ka,
Vo phool par mandrata raha,
Khushbu jism mein thi uske..

-


20 AUG 2020 AT 14:16

I'm not sad anymore for that special feel that ended.
Yes, I'm happy that at times it was a beginning.

-


16 AUG 2020 AT 0:53

Ae azad Hindustan teri salamati ki dua karu, Jo kam na aaye ek zindagi to dusro ki dua karu.

-


13 AUG 2020 AT 23:04

Pani se bhari aankhein lekar mujhe ghoorta hi raha,
Aaine mein khada vo shakhs pareshan bahut tha.

-


Fetching Shreyansh Pathak Quotes