Shreyansh Joshi   (Shrey)
380 Followers · 2 Following

I write ✍️
Joined 1 July 2020


I write ✍️
Joined 1 July 2020
30 APR AT 23:29

Aisa pyaar de paogi? Ruh se ruh Mila paogi? Apni jhulfo se mujhe hamesha sataogi? Aur meri maut ke baad mera kafan ban paogi?

Aisa pyaar kar paogi? Kya mere kale asmaan mai chand si roshni faila paogi? Aur mere beete bewfaiye ki chot par apni Ishq ka marham laga paogi?

Aisa pyaar kar paogi? Judaiye ke baad bhi khaloyo mai aogi? Aur khuda ki arzi mai kya kabool hai kabool hai kabool hai, bol paogi?

-


13 APR AT 23:49

Kabhi kabhi aisa lagta hai ki rishte sambhalne nahi ate muje, gairo se nibha kar apno se bair rakhta hoo, jisko saath manta tha apne aaj unhe se khafa hoo, jo bane the kabhi rahi iss ajan rahh ki, salah dete the har mashwara ki wo aaj muh fere baithe hai, gairo ke gale lag aaj zindagi mai kafi age nikal gaye hai.

Mai bhi pukar kyu lagau, zakham duniya ko kyu dikhau, umeed rakh ke saath 7 janmo ka wada manga tha, kya yahi galti thi hamari? Ab laut kar aoge bhi to bhool jana ki saath hamara tha kabhi, ek naye sirahe se shuru karna aur iss bar dhoke ki aag mai tum jalna, lekin mai kayar nahi tumhari tarah, kheech kar le aunga bahar kyuki baat bhale gairo se ho meri apno se lakh dhoke ke baad bhi kabhi pyaar ke dor todunga nahi.

-


26 MAR AT 16:39

Wo dekhi mujhe eid ke chand si, mehsoos hui jaise hawa ke jhonke si, ek madhur sangeet si sunayi di, kashmir ki vadiyon si wo ek fursaat bhare nazare si

"Salam-walekum, aap yahi rehti hai?" Usne kazal bhari ankho se aur komal bhari nigahon se dekha aur kaha "Jee haan, aur aap?" "Ji, mai Dilli se hu" kuch der ke liye maine uski zheel si gheere ankho Mai dekha aur usne meri, kuch boli nahi lekin bohot kuch bayan kar gayi, "apka naam Jaan sakta hoo?" Gulab se saje hote se usne apna naam "Ayesha" bataya. "Bohot khubsurat naam hai apka, bilkul iss kashmir ki ghati sa" "ji shukriya!,aapka kashmir ana kaise mansoob hua?" "Khuda ki manzoori se aya hoo mai idhar, Dil mai ek dua lekar, aur aisa lagta hai wo dua kabool hogyi" Usne apne chehre ko neeche kar, apni jhulfo ko kano ke peeche sajaya, muskurahat ke saath, halki awaaz mai bola. "Kya dua thi apki?" Maine ek kagaz aur kalam nikala aur likha

Dua thi meri Jo kobool hui hai, tujhse milkar aaj mukammal hui hai, sharmaye jo teri tarah, muskuraye jo teri tarah, ankhon se dekhe ji teri tarah, ek shant sa sukoon de jo teri tarha, ya khuda shukriya tera jo dua meri kabool hui aur mere khwabo mai jo thi wo meli mujhe aaj bilkul teri tarah.....

-


16 DEC 2023 AT 17:09

Kapan se hi hai shareer mai, man Khali fir bhi bhara lagta hai, Dil mai pyaar nahi sirf udasi hai uss samay ki yaade abhi bhi iss mare Dil mai Zinda hai shayad khyalo mai bhand liya hai Maine tumhe apne har kad se jod liya hai Maine ki ye ab mujhe hi ghot rahi hai mujhe apne se alag kar rahi hai

Kya kafi nahi tha tumhara meri zindagi se chale Jana ki ab mai apne se bhi door ho Gaya hoo, shant hokar bhi ashant ho gaya hoo, Man ke vichar man mai rakh kar Dil ki baate Dil mai rakh kar duniya ko kuch aur hi dikha raha hoo, ye mai nahi hu ye mai janta hoo isliye sawal khud se puchta hoo ki, fir mai kaun hu?

-


22 NOV 2023 AT 10:19

I am sleeping, dreaming about the past wondering about the future and living the catastrophic feeling of standing at the edge of a cliff where life has given me no choice but to reflect.

As I stand on the cliff waiting for someone to push me the other side I find no one but my shadow whom I'm either afraid or so pleased to meet that I have identified myself as it.

No feelings no emotions just an invisible face, invisible body. They say it's awareness, but it's not it's just an empty dark place where I know it's not me it's.....should I accept it?

-


27 JAN 2023 AT 22:47

Ishq ki khatir hum bhi tumhare hogye, mauke hazaar diye, tum hamre dil par sawar hogye, zamane ne pagal theradiya hume, hum to tere pyaar mai deewane ho gye

Beshaq ab tumhe humse pyaar nahi, tumahare liye har ek ladka ab anjaan nahi, yu to tum bhi hume kabhi dil ki baate sunaya karti thi, ab kisi aur ki baho mai hamari buraiya karti hogi, beshaq tum ab hume yaad nahi karti hogi.......

-


19 JAN 2023 AT 0:18

Tum yu rutha na karo, halaat mere apne dil se poocha Karo, bebasi mai tum yu chale gaye hume chod kar jara thodi fikr hamre dil ki bhi kiya karo

Mauka nahi ek bhi jaha tumhe socha nahi, tumhe apne kareeb dekha yahi, lekin ab bas sapno mai sath dekha tumhara, hakikat mai to tumne dil kafi dafa toda hamara

Har waqt sath nibhaungi tumhara ye keh kar wapas ayi thi, ek nok-zok par hamare rishte par baat ayi thi, ab bas ek hi hai swal kya itna kamzor tha hamara pyaar, jo chod kar chal gaye hamara saath.........

-


8 MAY 2022 AT 10:15

Maa ke liye kya likhu dosto wo to ek akshar hai mai to shabd hoo uska. Maa ke liye ka kya likhu dosto wo to ek kavi hai mai kavita hoo uski

Maa ke liye kya likhu dosto wo to ek boond hai mai sagar hu uska, maa ke liye kya likhu dosto wo to ek swar hai mai geet hu uska

Maa ke liye kya likhu dosto wo to ek phool hai mai bageecha hoo uska, wo yashodha hai meri to mai kahana hoo uska.....

-


4 MAY 2022 AT 0:31

Tum ek kinara ho mere behte zeevan ka, tum sahara ho mere toote ishq ka, tum ek dhalti shaam ho mere adhoore nazare ka, tum khoobsurat sa phool ho mere dil ke guldaste ka

Tumhara pass hona, tumhara muskarana tumhara mujhe gale lagana mera haal poochna aur mujhe apne dil ka haal sunana na jane ye sab ek kahani sa lagta hai, jisse na jane kyu mera bas likhte rehna ka man karta hai.......

-


27 APR 2022 AT 18:55

Shor bhari zindagi mai ek shant sa pal dhoond raha hoo , ummedo se bandha basta zimmedari ke khando par lekar chal raha hoo, raste na jine kitne taye karne hai mujhe isliye manzil par pauchne ki tyaari kar raha hoo

Iss zindagi ke raste mai kayi mod hai har mod ki ek alag kahani hai, uss har ek kahani ka hissedar banna chahta hoo, likh kar ek kitab, poori duniya ko sunnana chahta hoo.....

-


Fetching Shreyansh Joshi Quotes