Sunsan ek ilaka aur ek Kante ki jhad
Uske piche ek lash aur khoon ki bahar.
Sakshi hai kuch shaitan ka barbadata ki
aur ek nari ki samman ko lalkar ne ki.
na Jane kitne chinkhe aur Kitna Pukar vo ladki lagayi;
barbadata ki har ek seemaye vo shaitane langh gayi .
nari ki samman ko zar zar sa kar dala,
maryada ki aanchal ko bhumi mein faila diya.
kya bit rhi hogi uss mata ko,jisne itni mamta se pala
kuch saitano ne uss pita ka hriday ko hi nichod dala;
uss bhai ka kya haal hoga jisne rakshabandhan me raksha ka wada kiya,
uss premi ka ab kya hoga,jisne ek sundar vabissya ka sapna sajaya.
kitne log aaye gaye ek hi baat kahe
ladki hai raat Ko akeli bahar kyon nikle;
kuch ne ki afsos ,kuch ne usi ki charitra ko daag lagaye
ladki mein hi koi dosh hogi isiliye ladke log fisle.
kalyug hai ye nari, koi Krishna nahi ayega
khud Lado, khud jiyo ,apna samman khud ko hi bachana padega.
jo log aaj vo ladki ki charitra ko kalankit kar rahe ho
Ishwar kare kal tumhara beti ya behen use jhad ke piche na ho
Jab kathor se kathor saja lagu hogi har eK shaitan per
koi ladki nahin milegi khoon se latpat jhad ya sadkon per;
Isiliye apna maryada ko samjha karo, seemaye na langho, nari ka samman karo..- Shreya 🍂
4 APR 2023 AT 11:21