Shreya   (Shreya)
3 Followers · 1 Following

Achieve your minima
Joined 25 April 2021


Achieve your minima
Joined 25 April 2021
1 JAN AT 18:33

Hawaaon ka rukh kuch yun badalta dekha hai,
Shaatiron ko bhi sharifon mein tabdeel hota dekha hai,
Or fakir se baadshah kya bane ae zaalim,
Taano ko bhi taarifon mein tabdeel hota dekha hai.

-


22 JAN 2023 AT 11:30

Iss khaamoshi ko hi samaj le tu tere ghazal ki taareef ae zaalim,
Ke kambakht ye lafz bhi teri aawaaz sunke bolna bhool sa gaye hain.

-


26 DEC 2022 AT 19:00

Dil tutne ka silsilaa ab kuch yun khatam ho jaaye,
Kaash unn khushnaseeb pathhardilon mein ek naam humaara bhi shaamil ho jaaye.

-


24 DEC 2022 AT 14:55

Shikaayatein bhi hain rukaawatein bhi hain,
Dil ki kabra mein dafn kuch khwaaishein bhi hain,
Kitna kose tujhe ae zindagi,
Khaamiyan toh hum mein bhi abhi lakh baanki hain.

-


6 NOV 2022 AT 18:29

Hai aaj andheri raat toh kya,
Kal ummeid ka saweraa bhi hoga.
Chaayi hai aaj dhundh toh kya,
Kal saaf ye nazaara hoga.
Jo kal tak peeth dikhaate the,
Wo kal peeth thapthapayenge.
Jo nazrein pher lete the kal tak,
Wo ek nazar ko taras jayenge.
Mat dar tu inn tufaano se,
Kal saamne tere kinara hoga.
Hai aaj andheri raat toh kya,
Kal ummeid ka saweraa bhi hoga.

-


22 SEP 2022 AT 19:28

Kya khoob samaa baandha hai tune ae zindagi,
Ke tere mazaak par acche acchon ko rota dekha hai humne.

-


11 AUG 2022 AT 11:50

Shaayari mat samajhna inhe
Ye toh saare zakhmo ke nishaan hain,
Yun hi nahi likhte hum
Har alfaaz ki ek alag hi daastaan hai.

-


9 AUG 2022 AT 13:46

Kaatilaana unki nazro ne kya khoob keher dhaya hai,
Phir ek baar hume kisi ne ishq ki iss saazish mein phasaaya hai.

-


9 JUL 2022 AT 22:27

Kitni bechaini hai mann mein tum kya jaan paaoge,
Anginat sawaal hain dimaag mein kitno ko suljha paaoge.
Ke kismat jab meherbaan hogi toh beshak saath hoge humaare,
Jo badkismat hue toh kya humaare baare mein soch bhi paaoge?

-


15 JUN 2022 AT 21:47

Toh kya hua gar aaj tu gumnaam hai,
Manzil ko paana bhi thodi na itna aasan hai,
Abhi toh mutthi bhar zameen hi looti hai bas,
Dhyan se dekh, kabzaa karne ko baanki abhi poora aasmaan hai.

-


Fetching Shreya Quotes